Van Me Chale Raghurai (वन में चले रघुराई: भजन)


Van Mein Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥
Aage Aage Ram Chale Hai,
Pichhe Lakshman Bhai,
Jinke Bich Mein Chale Jaanki,
Shobha Barni Na Jai,
Van Ko Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥

Ram Bina Meri Suni Re Ayodhya,
Lakshman Bin Chaturai,
Sita Bina Suni Re Rasoi,
Kaun Kare Thakurai,
Van Ko Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥

Savan Barse Bhadav Garje,
Pavan Chale Purvai,
Kaun Birakh Niche Bheejat Honge,
Ram Lakhan Do Bhai,
Van Ko Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥

Ravan Maar Ram Ghar Aaye,
Ghar Ghar Bantati Badhai,
Mata Kaushalya Karat Aarti,
Shobha Barni Na Jai,
Van Ko Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥

Van Mein Chale Raghurai,
Sang Unke Sita Mai,
Raja Janak Ki Jai,
Raja Janak Ki Jai ॥
वन में चले रघुराई: भजन - हिन्दी में पढ़ें
वन में चले रघुराई, संग उनके सीता माई, राजा जनक की जाई, राजा जनक की जाई ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko

Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye Taruvar Ki Chhaya...

Bharosa Kar Tu Ishwar Par

Bharosa Kar Tu Ishwar Par, Tujhe Rona Nahi Hoga । Yah Jeevan Beet Jayega, Tujhe Rona Nahi Hoga ॥ Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai...

Bhajan: Jyot Se Jyot Jagate Chalo

Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Prem Ki Ganga Bahate Chalo, Prem Ki Ganga Baha...

Tu Pyar Ka Sagar Hai

Tu Pyar Ka Sagar Hai, Teri Ek Bund Ke Pyase Ham। Lauta Jo Diya Tune..

Tora Man Darpan Kahlaye

Tora Man Darpan Kahlaye, Bhale, Bure, Saare Karmon Ko, Dekhe Aur Dikhaye...