Tumse Lagi Lagan Le Lo Apni Sharan Paras Pyara (भजन: तुम से लागी लगन.. पारस प्यारा)


Tum Se Lagi Lagan,
Le Lo Apni Sharan, Paras Pyara,
Meto Meto Ji Sankat Hamara ।
Nishadin Tumko Japoon,
Par Se Neh Tajun, Jeevan Sara,
Tere Charanon Mein Beet Hamara ॥tek॥

Ashwasen Ke Rajdulare,
Vaama Devi Ke Sut Pran Pyare ।
Sabse Neh Toda,
Jag Se Munh Ko Moda,
Sayam Dhara ॥
Meto Meto Ji Sankat Hamara ॥

Indr Aur Dharnendr Bhi Aye,
Devi Padmavati Mangal Gaye ।
Asha Puro Sada,
Dukh Nahin Paave Kada,
Sevak Thaara ॥
Meto Meto Ji Sankat Hamara ॥

Jag Ke Dukh Ki to Parvaah Nahin Hai,
Swarg Sukh Ki Bhi Chaah Nahin Hai ।
Meto Jaman Maran,
Hove Aisa Yatan,
Paras Pyara ॥
Meto Meto Ji Sankat Hamara ॥

Lakhon Baar Tumhen Sheesh Navaoon,
Jag Ke Nath Tumhen Kaise Paoon ।
‘pankaj’ Vyaakul Bhaya,
Darshan Bin Ye Jiya Lage Khaara ॥
Meto Meto Ji Sankat Hamara ॥

Tum Se Lagi Lagan,
Le Lo Apni Sharan, Paras Pyara,
Meto Meto Jee Sankat Hamara ।
भजन: तुम से लागी लगन.. पारस प्यारा - हिन्दी में पढ़ें
जैन भजन: तुम से लागी लगन, ले लो अपनी शरण, पारस प्यारा, मेटो मेटो जी संकट हमारा । निशदिन तुमको जपूँ...
Bhajan Jain BhajanJainism BhajanDaslakshan Parva BhajanParyushana BhajanJain Samaj Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Bade Maan Se Zamana Maa Tujhe Pujata Hai

Bade Maan Se Jamana, Maan Tumko Poojta Hai, Tere Naam Ka Tarana...

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr