Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati (तुम भी बोलो गणपति, और हम भी बोले गणपति - भजन)


Tum Bhi Bolo Ganpati,
Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥Doha – Mere Ganraj Gar Najre Karam,
Ik Baar Ho Jaye,
Gamme Daura Ki Jo Koshish Hai,
Vo Bekar Ho Jaye,
Mere Sartaj,
Kadmon Mein Jagah Do Mujhe,
Jami Ka Ek Jarra Hoon,
Najar Sarkar Ho Jaye ॥

Maaniye Pahale Gajanan,
Gajvadan Hey Ganpati,
Jisne Bhi Dil Se Pukara,
Dukhharan Hey Ganpati,
Jisne Bhi Dil Se Pukara,
Dukhharan Hey Ganpati,
Tum Bhi Bolo Ganpati,
Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Ye Riddhi Siddhi Ke Data,
Suman Gaura Ke Pyare Hai,
Suman Gaura Ke Pyare Hai,
Ye Garibo Ke Hai Aaka,
Nayan Gaura Ke Pyare Hai,
Nayan Gaura Ke Pyare Hai,
Parampita Bhole Shankar,
Charan Gaura Ke Pyare Hai,
Charan Gaura Ke Pyare Hai,
Bramha Vishnu Mahesh Ne Naman,
Gaura Ke Pyare Hai,
Naman Gaura Ke Pyare Hai,
Moosa Wahan Mein Jo Rahte Magan,
Gaura Ke Pyare Hai,
Sabhi Devo Mein Jo Pahle Ratan,
Gaura Ke Pyare Hai,
Har Ek Ghar Mein Jo Karde Aman,
Gaura Ke Pyare Hai,
Bade Pavan Hai Ye Gaura Lalan,
Gaura Ke Pyare Hai ॥

Kaam Sanwar Jayenge,
Mangalacharan Hey Ganpati,
Saari Duniya Mein Jo Pahle,
Shubh Lagn He Ganpati,
Tum Bhi Bolon Ganpati,
Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Mere Bhagwan Ganpati,
Mere Bhagwan Hai Gajdhar,
Mere Gunwan Ganpati,
Mere Gunwan Hai Gajdhar,
Mere Guru Gyan Ganpati,
Mere Guru Gyan Hai Gajdhar,
Mere Dhanwan Ganpati,
Mere Dhanwan Hai Gajdhar,
Mere Balwan Ganpati,
Mere Balwan Hai Gajdhar,
Mere Mahan Ganpati,
Mere Mahan Hai Gajdhar.
Saare Hi Jag Ke Liye,
Taaran Taran Hai Ganpati,
Zindagi Ke Mod Pe,
Jo Hai Milan Hai Ganpati,
Tum Bhi Bolon Ganpati,
Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Maaniye Pahale Gajanan,
Gajvadan Hey Ganapati,
Jisne Bhi Dil Se Pukara,
Dukhharan Hey Ganpati,
Jisne Bhi Dil Se Pukara,
Dukhharan Hey Ganpati,
Tum Bhi Bolo Ganpati,
Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥
तुम भी बोलो गणपति, और हम भी बोले गणपति - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मानिये पहले गजानन, गजवदन हे गणपति, जिसने भी दिल से पुकारा, दुखहरण हे गणपति, जिसने भी दिल से पुकारा, दुखहरण हे गणपति, तुम भी बोलो गणपति, और हम भी बोले गणपति ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jai Shri Ram Raja Ram

Tere Hi Bharose Hai Hum, Tere Hi Sahare, Duvidha Ki Ghadi Mein Ye Man , Tujhko Hi Pukaare

Aaye Hain Prabhu Shri Ram Bharat Fule Na Samate

Aaye Hain Prabhu Shri Ram, Bharat Fule Na Samate Hain । Tan Pulakit Mukh Bol Na Aaye

Bhajan: Ram Kahne Se Tar Jayega Par Bhav Se Utar Jayega

Ram Kahane Se Tar Jaega, Paar Bhav Se Uttar Jayega। Us Gali Hogi Charcha Teri...

Mere Ghar Ram Aaye Hai

Meri Chaukhat Pe Chalake Aaj, Chaaron Dhaam Aae Hai, Bajao Dhol Swagat Mein, Mere Ghar Ram Aaye Hai, Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥

Namami Bhakt Vatsalan

Namami Bhakt Vatsalan । Krpalu Sheel Komlan ॥ Bhajami Te Padambujan ।