Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein,
Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥
Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,
Zindgi Milti Hai Roton Ko Hansi Milti Hai ॥
Ik Ajab Si Masti Tan Man Pe Chhati Hai,
Har Ik Juban Tere O Maiya Geet Gati Hai,
Bajte Sitaron Se Meethi Pukaro Se,
Goonje Jahan Sara Tere Unche Jaykaro Se,
Masti Mein Jhoome Tera Dar Choome,
Tere Chaaro Taraph Duniya Ye Ghume,
Aisi Masti Bhi Bhala Kya Kaheen Milti Hai,
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥
Meru Sheron Wali Maa Teri Har Baat Achchhi Hai,
Karni Ki Poori Hai Mata Meri Sachchi Hai,
Sukh-dukh Bantati Hai Apna Banati Hai,
Mushkil Mein Bachche Ko Maa Hi Kaam Aati Hai,
Raksha Karti Hai Bhakt Apane Ki,
Baat Sachchee Karatee Unake Sapano Kee,
Saari Duniya Ki Daulat Yahi Milti Hai,
Tere Dar Baar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥
Rota Hua Aaye Jo Hansta Hua Jata Hai,
Man Ki Murado Ko Vo Pata Hua Jata Hai,
Kismat Ke Maaro Ko Rogi Beemaron Ko,
Karde Bhala Changa Meri Maa Apne Dularau Ko,
Paap Kat Jaye Charan Chhoone Se,
Mahakti Hai Duniya Maa Dhune Se,
Phir to Maa Aisi Kabhi Kya Kaheen Milti Hai,
Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥