Sita Ke Ram The Rakhwale Jab Haran Hua Tab Koi Nahi (सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं: भजन)


Sita Ke Ram The Rakhwale,
Jab Haran Hua Tab Koi Nahin ॥
Dropadi Ke Pancho Pandav The,
Jab Chir Haran Tab Koi Nahi,
Dashrath Ke Char Dulare The,
Jab Pran Taje Tab Koi Nahin ॥

Ravan Bhi Bade ShaktiSali The,
Jab Lanka Jali Tab Koi Nahi,
Sri Krishan Sudarshan Dhari The,
Jab Tir Chuva Tab Koi Nahin ॥

Lakshman Ji Bhi Bhari Yoddha The,
Jab Shakti Lagi Tab Koi Nahin,
Sar Shayya Pe Pade Pitaamah The,
Pida Ka Sanjhi Koi Nahin ॥

Abhimanyu Raj Dulare The,
Par Chakravyuh Mein Koi Nahin,
Sach Hai ‘Devendr’ Duniya Wale,
Sansar Mein Apna Koi Nahin ॥

Sita Ke Ram The Rakhwale,
Jab Haran Hua Tab Koi Nahin ॥
सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं ॥ द्रोपदी के पांचो पांडव थे, जब चीर हरण तब कोई नहीं, दशरथ के चार दुलारे थे, जब प्राण तजे कब कोई नहीं ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Maiya Tumse Meri Choti Si Hai Arji

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Meri Naiya Paar Lagegi Maa Khadi Hai Tu Us Paar

Meri Naiya Paar Lagegi, Maa Khadi Hai Tu Us Paar, Na Koi Majhi Saath Mein, Na Haathon Patavar ॥

Aaungi Aaungi Main Agle Baras Phir Aaungi

Aaungi Aaungi Main Agle, Baras Phir Aaungi, Laungi Laungi Teri, Laal Chunariya Laungi ॥

Naam Tera Durge Maiya Ho Gaya

Ambe Bhawani ,,, Ho O, Ambe Bhawani Tera Dhyan Sabhi Hai Dharte, Naam Tera Durga Maiya Ho Gaya,
Durgunon Ka Naas Karte Karte ॥

Bade Tumhare Hai Upkar Maiya

Bade Tumhare Hai Upkar Maiya, Karke Hamara Bhi Khayal, Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥