Shiv Shankar Ko Jisne Pooja (शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ - भजन)


Shiv Shankar Ko Jisne Pooja,
Uska Hi Uddhar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥
Bhole Shankar Ki Pooja Karo,
Dhyan Charanon Mein Iske Dharo ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...

Damru Wala Hai Jag Mein Dayalu Bada
Deen Dukhiyon Ka Deta Jagat Ka Pita ॥
Sab Pe Karta Hai Ye Bhola Shankar Daya
Sabko Deta Hai Ye Aasra ॥

In Paawan Charnon Mein Arpan,
Aakar Jo Ik Baar Hua,
Antkaal Ko Bhavasaagar Mein,
Uska Beda Paar Hua,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...

Naam Uncha Hai Sabse Mahadev Ka,
Vandana Iski Karte Hai Sab Devta ।
Iski Pooja Se Vardaan Paaten Hain Sab,
Shakti Ka Daan Paten Hain Sab ।

Nath Asur Prani Sab Par Hi,
Bhole Ka Upakar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavsagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja,
Uska Hi Uddhar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥

Bhole Shankar Ki Pooja Karo,
Dhyan Charanon Mein Iske Dharo ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...
शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ। अंत काल को भवसागर में उसका बेडा पार हुआ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanHariharan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Main To Jhoom Jhoom Nachu Re Aaj Maiya Ghar Aayi Hai

Main to Jhoom Jhoom Naachu Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Mata Ke Gun Gaoon Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Jhoom Jhoom Naachun Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai ॥

Nau Nau Roop Maiya Ke To Bade Pyare Lage

Nau Nau Roop Maiya Ke To, Bade Pyare Lage, Bade Pyare lage, Sabse Paye Maa Ke, Bhawano Ke Najare Lage, Sabse Payre Maa Ke, Bhawano Ke Najare Lage ॥

Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet

Har Ki Koi Chinta Nahi, Pag Pag Hogi Jeet, Lagi Re Meri Lagi Re Meri, Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet,
Maat Maat Ka Nagma Gaye, Maat Maat Ka Nagma Gaye, Ye Jiban Sangini, Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥

Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan

Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan, Aati Hai Gagan Se Rojana, Chanda Bhi Sitaron Ko Moti,
Deta Hai Najar Se Najrana, Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan, Aati Hai Gagan Se Rojana ॥