Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai,
Saare Jag Ki Maharani Ye,
Jagdamba Mahamai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
Jisne Manga Maiya Tujhse,
Pal Mein Jholi Bhar Gai,
Maiya Teri Laal Chunariya,
Aisa Jaadu Kar Gai,
Kimast Khul Gai Jiske Sar Pe,
Laal Chunar Laharai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
Jab Bhi Koi Bhari Sankat,
Maiya Hum Pe Aaye,
Maiya Tere Siva Hamen Koi,
Aur Nazar Na Aaye,
Kadam Kadam Pe Bhakto Ki,
Maan Tune Laaj Bachai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
To Maan Bade Garv Se,
Sabko Ye Batlata,
Harpal Raksha Karti Meri,
Sherawali Mata,
Meri Ungli Thaam Ke Chalti,
Maiya Ki Parachhai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
Kisko Dena Kab Kya Dena,
Maan Ko Sab Khabar Hai,
Har Bhakto Ke Upar,
Meri Maiya Nazar Hai,
Maiya Ki Kripa Se Hi,
Ye Shrashti Rachi Rachai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai,
Saare Jag Ki Maharani Ye,
Jagdamba Mahamai,
Sherawali Ke Darbar Mein,
Hoti Hai Sunvai ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजन