Saanwali Surat Pe Mohan,
Dil Deewana Ho Gaya ।
Dil Deewana Ho Gaya,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Nain Tirachhe,
Doosra Kajal Laga ।
Teesra Nazrein Milana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Honth Patale,
Doosra Laali Lagi ।
Teesra Tera Muskurana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Haath Komal,
Doosra Mehndi Lagi ।
Teesra Murali Bajana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Paanv Naazuk,
Doosra Paayal Bandhi ।
Teesra Ghungroo Bajana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Bhog Chhappan,
Doosra Maakhan Dhara ।
Teesra Khichadi Ka Khana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tere Saath Radha,
Doosra Rukman Khadi ।
Teesra Meera Ka Ana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Ek to Tum Devta Ho,
Doosra Priyatam Mere ।
Teesra Sapano Mein Aana,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
Saanwali Surat Pe Mohan,
Dil Deewana Ho Gaya ।
Dil Deewana Ho Gaya,
Dil Deewana Ho Gaya ॥
आरती कुंजबिहारी की |
आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन |
श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं |
आरती श्री बाल कृष्ण जी की |
ॐ जय जगदीश हरे |
मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं |
कृष्ण भजन |
अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं |
श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!