Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati (रिध्दि सिद्धि के दाता सुनो गणपति - भजन)


Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥
Shlok ॥
Saari Chinta Chhod Do,
Chintaman Ke Dwar,
Bigdi Banayenge Wahi,
Vinati Kar Swikaar,
Bade Bade Kaaraj Sabhi,
Pal Me Kare Saakaar,
Bade Ganpati Ka Hai Sath,
Sachcha Ye Darbaar,
Sidh Ho Har Kaamna,
Siddhivinayak Dham,
Khajrana Me Aan Base Mere,
Shiv Gauri Ke Laal ॥

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati,
Aapki Meharbani Humen Chahiye,
Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka,
Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye,
Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Sar Jhukata Hoon Charnon Me Sun Lijiye,
Aaj Bigdi Humari Bana Lijiye,
Na Tamanna Hai Dhan Ki Na Sar Taaj Ki,
Tere Charnon Ki Seva Humen Chahiye,
Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Teri Bhakti Ka Deel Me Nasha Choor Ho,
Bas Aankho Me Baba Tera Noor Ho,
Kanth Pe Sharda Maan Hamesha Rahe,
Riddhi Siddhi Ka Var Hi Humen Chahiye,
Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Saare Devon Me Gunvaan Data Ho Tum,
Saare Vedon Me Gyano Ke Gyata Ho Tum,
Gyaan Dedo Bhajan Geet Gaate Rahe,
Bas Yahi Zindagani Humen Chaahiye,
Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati,
Aapki Meharbani Humen Chahiye,
Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka,
Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye,
Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः
रिध्दि सिद्धि के दाता सुनो गणपति - भजन - हिन्दी में पढ़ें
रिध्दि सिद्धि के दाता सुनो गणपति, आपकी मेहरबानी हमें चाहिये, पहले सुमिरन करूँ गणपति आपका, लब पे मीठी सी वाणी हमें चाहिये, रिध्दि सिध्धि के दाता सुणो गणपति ॥
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanAshtvinayak BhajanSiddhi Vinayak BhajanGanpati Bappa Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Bade Maan Se Zamana Maa Tujhe Pujata Hai

Bade Maan Se Jamana, Maan Tumko Poojta Hai, Tere Naam Ka Tarana...

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr