Ramchandra Keh Gaye Siya Se (रामचंद्र कह गये सिया से: भजन)


Ramchandra Kah Gaye Siya Se,
Hey Ramchandra Kah Gaye Siya Se,
Aisa Kalyug Aayega,
Hans Chugega Dana Dunka,
Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥
Siya Ne Puchha –
Kalyug Me Dharam Karam Ko Koi Nahi Manega
To Prabhu Bole –
Dharam Bhi Hoga, Karam Bhi Hoga
Dharam Bhi Hoga, Karam Bhi Hoga Lekin Sharam Nahi Hogi
Baat Baat Pe Maat Pita Ko, Baat Baat Pe Maat Pita Ko,
Beta Aankh Dikhayega,
Hans Chugega Dana Dunka, Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥

Raja Aur Praja Dono Me
Hogi Nisadin Khechataani Khechatani
Kadam Kadam Par Karege Dono, Apni Apni Mana Mani
Jiske Hath Me Hogi Lathi, Jiske Hath Me Hogi Lathi
Bhais Wahi Le Jayega,
Hans Chugega Dana Dunka, Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥

Suno Siya Kalyug Me Kala Dhan Aur,
Kale Man Hoge, Kale Man Hoge,
Chor Uchkke Nagar Seth Aur Prabhu Bhakt,
Nirdhan Hoge, Nirdhan Hoge,
Jo Hoga Lobhi Aur Bhogi,
Jo Hoga Lobhi Aur Bhogi Vo Jogi Kahalayega,
Hans Chugega Daana Dunka, Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥

Mandir Suna Suna Hoga Bhari Rahegi Madhushala,
Haan Madhushala
Peeta Ke Sang Sang Bhari Sabha Me Nachegi,
Ghar Ki Bala, Ghar Ki Bala
Kaisa Kanyadan Pita Hi,
Kaisa Kanyadan Pita Hi, Kanya Ka Dhan Khayega,
Hans Chugega Dana Dunka, Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥

Ramchandra Kah Gaye Siya Se
Hey Ramchandra Kah Gaye Siya Se Aisa Kalyug Aayega,
Hans Chugega Dana Dunka, Hans Chugega Dana Dunka,
Kauwa Moti Khayega ॥

Moorakhki Preet Buri Jue Ki Jeet Buri
Bure Sang Baith Baith Bhaage Hi Bhaage
Kaajalki Kothri Me Kaise Hi Jatan Karo
Kaajal Ka Daag Bhai Lage Hi Lage
Kitna Jati Ho Koi Kitna Sati Ho Koi
Kaamni Ke Sang Kaam Jaage Hi Jaage
Suno Kahe Gopiram Jiska Hai Ramdham
Uska to Phand Gale Lage Hi Lage
Uska to Phand Gale Lage Hi Lage ॥
रामचंद्र कह गये सिया से: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रामचंद्र कह गये सिया से, हे रामचंद्र कह गये सिया से, ऐसा कलजुग आएगा, हंस चूगेगा दाना दुनका, हंस चूगेगा दाना दुनका, कव्वा मोती खाएगा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanShri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Laagi Tum Sang Yaari Mere Banke Bihari

Laagi Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari, Banke Bihari, Mere Kunj Bihari, Laagin Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari ॥

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

JaiKara Mere Kedareshwaray Jai Kara

Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara, Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara ॥

Hey Nath Daya Karke Meri Bigdi Bana Dena

Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena, Ab Tak Jo Nibhaya Hai, Age Bhi Nibha Dena, Age Bhi Nibha Dena, Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena ॥