Tarj : Pyase Panchhi Neel-Gagan Ke
Ramayan Ke Saat Kand Mein
Koi Nahi Hai Aisa
Sundarakand Ke Jaisa..
Ghar Ghar Mein Gaya Jata Hai
Kaunsa Granth Hai Aisa
Sundarkand Ke Jaisa..
Itna Saral Hai Har Koi Padle,
Shastra Nahin Koi Aisa
Sundarkand Ke Jaisa..
1.. Sundarkand Mein Balaji Ki
Leela Badi Hai Bhari
Pag-Pag Par Shri Ram Ki Jisne
Vipada Haralee Saree
Langh Samandar.. Lanka Jalana..
Shaury Nahee Kaheen Aisa
Sundarakand Ke Jaisa..
2.. Vaar Tithi Muhoort Mat Dekho
Jab Bhi Samay Ho Galo
Ramayan Ka Saar Hai Ismen
Mathe Ise Laga Lo
Itna Saral Hai.. Har Koi Padhle..
Shastr Nahi Koi Aisa
Sundarkand Ke Jaisa..
3.. Sundarkand Mein Balaji Ki
Tej Bhari Chaupaiyan
Niyamit Padhne Se Bhagton
Mitati Gum Ki Parchhaiyan
Ambarish Bole.. Kar Nahi Sakta..
Chamatkar Koi Aisa
Sundarkand Ke Jaisa..
Jay Shri Ram
Jay Hanuman
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!