Ram Ki Dhun Me Ho Ke Magan Roj Karta Rahu Mein Bhajan (राम की धुन में हो के मगन रोज करता रहूं मैं - भजन)


Ram Ki Dhun Mein, Ho Ke Magan,
Roj Karta Rahoon, Main Bhajan ,
Kahi Aur Lagaoon Na Man,
Roj Karta Rahoon, Main Bhajan,
Pahale Bhakti Mili, Phir Bhajan Hain Mila,
Phir Bhajanon Mein, Ram Ka Sang Mila,
Ram Ji Se, Lagaoon Main Lagan,
Roj Karta Rahoon, Main Bhajan,

Ram Ki Dhun Mein, Ho Ke Magan,
Roj Karta Rahoon , Main Bhajan ,

Jab Se Bhakti Mili, Main Badal Sa Gaya,
Jeevan Mera to Phir Ye, Sudhar Sa Gaya,
Ab Banaoon , Nirmal Ye Man,
Roj Karta Rahoon , Main Bhajan,

Ram Ki Dhun Mein, Ho Ke Magan,
Roj Karta Rahoon , Main Bhajan ,

Bhakti Ram Ki Mujhase, Na Chhute Kabhi,
Jo Bhi Honge Jatan , Vo Karunga Sabhi,
Ab Hataoo Na, Bhajanon Se Man,
Roj Karta Rahoon, Main Bhajan,

Ram Ki Dhun Mein, Ho Ke Magan,
Roj Karta Rahoon , Main Bhajan
राम की धुन में हो के मगन रोज करता रहूं मैं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम की धुन में, हो के मगन, रोज करता रहूं, मैं भजन
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu Stuti BhajanVishnu Stuti BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ram Ki Dhun Me Ho Ke Magan Roj Karta Rahu Mein Bhajan

Ram Ki Dhun Mein, Ho Ke Magan, Roj Karta Rahoon, Main Bhajan

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Meri Jhopdi Ke Bhag Aaj Khul Jayenge

Meri Jhopdi Ke Bhag, Aaj Khul Jayenge, Shyam Ayenge

Jab Te Ram Bhayai Ghar Aaye

Jab Ten Ramu Byahi Ghar Aaye । Nit Nav Mangal Mod Badhaye ॥ To drive away poverty from home and to bring happiness, prosperity, peace, listen to these chaupaiyan of mangalacharan of Ayodhya Kand everyday..

Sajado Ghar Ko Gulshan Sa

Saja Do Ghar Ko Gulshan Sa, Awadh Me Ram Aayen Hain | Mere Sarkar Aaye Hain..