Ram Kahani Suno Re Ram Kanahi (राम कहानी सुनो रे राम कहानी - भजन)


Shri Ram Navami, Vijaya Dashami, Sundarkand, Ramcharitmanas Katha, Hanuman Janmotsav Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Vala Bhajan ।
Ram Kahani Suno Re Ram Kahani ।
Kahat Sunat Aave Ankhon Mein Pani ।
Shri Ram, Jay Ram, Jay-jay Ram ॥

Dashrath Ke Raaj Dulare,
Kaushalya Ki Aankh Ke Tare ।
Ve Surya Vansh Ke Suraj,
Ve Raghukul Ke Ujjyare ।
Rajiv Nayan Bolen Madhubhari Vani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Shiv Dhanush Bhang Prabhu Karke,
Le Aaye Sita Var Ke ।
Ghar Tyag Bhaye Vanvasi,
Pit Ki Aagya Sar Dhar Ke ।
Lakhan Siya Le Sang, Chhodi Rajdhani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Khal Bhesh Bhikshu Dhar Ke,
Bhiksha Ka Aagrah Karke ।
Us Janak Suta Sita Ko,
Chhal Bal Se Le Gaya Har Ke ।
Bada Duhkh Pave Raja Ram Ji Ki Rani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Shri Ram Ne Mohe Pathayo,
Main Ram Doot Ban Aayo ।
Sita Maa Ki Seva Mein,
Raghuvar Ko Sandesa Layo ।
Aur Sang Layo,
Prabhu Mudrika Nisani ।
॥ Ram Kahani Suno Re Ram Kahani… ॥

Ram Kahani Suno Re Ram Kahani ।
Kahat Sunat Aave Aankhon Mein Pani ।
Shri Ram, Jay Ram, Jay-jay Ram ॥
राम कहानी सुनो रे राम कहानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम कहानी सुनो रे राम कहानी। कहत सुनत आवे आँखों में पानी। श्री राम, जय राम, जय-जय राम...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Bade Maan Se Zamana Maa Tujhe Pujata Hai

Bade Maan Se Jamana, Maan Tumko Poojta Hai, Tere Naam Ka Tarana...

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr