Ram Dulare Hai Anjani Ke Pyare Hai (राम दुलारे है, अंजनी के प्यारे है: भजन)


Ram Dulare Hai,
Anjani Ke Pyare Hai,
Bhakto Ke Bigade Kaam,
Paal Mein Saware Hai,
Jay Ho Tumhari Hanuman,
Maa Anjani Ke Laala ॥
Chait Sudi Punam Mangal,
Paya Tumane Hai Janam,
Harapal Keval Karate Ho,
Ram Nam Ka Hi Sumiran,
Sara Jag Ye Mane,
Tum Ho Ram Diwane,
Ram Ki Dhun Main Khokar,
Rahate Ban Mastane,
Ram Ke Sewak Hai,
Dino Ke Saathi Hai,
Sari Duniya Inki,
Mahima Ko Gati Hai,
Jay Ho Tumhari Hanuman,
Maa Anjani Ke Laala ॥

Mehendipur Salasar Mein,
Sundar Roop Nirale Hai,
Apne Bhakto Ke Sankat,
Tumne Pal Main Tale Hai,
Siyaram Ki Murat,
Hradaya Bich Basaya,
Tum Par Pran Nyochhabar,
Karte Hai Raghurai,
Shiv Ke Avtari Ho,
Sabke Upkari Ho,
Apne Bhakto Ke Baba,
Tum Palanhari Ho,
Jay Ho Tumhari Hanuman,
Maa Anjani Ke Laala ॥

Ram Dulare Hai,
Anjani Ke Pyare Hai,
Bhakto Ke Bigade Kaam,
Paal Mein Saware Hai,
Jay Ho Tumhari Hanuman,
Maa Anjani Ke Laala ॥
राम दुलारे है, अंजनी के प्यारे है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम दुलारे है, अंजनी के प्यारे है, भक्तो के बिगड़े काम, पल में सँवारे है, जय हो तुम्हारी हनुमान, माँ अंजनी के लाला ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tere Dar Pe Maa Zindagi Mil Gayi Hai

Tere Dar Pe Maa, Zindagi Mil Gayi Hai, Mujhe Duniya Bhar Ki, Khusi Mil Gae Hai, Tere Dar Pe Maa, Zindagi Mil Gayi Hai ॥

Maiya Main Teri Patang

Maiya Main Teri Patang, Hawa Vich Udti Jawagi, Maiya Dor haathen Chaddi Na, Main Katti Jawagi,
Dati Mein Tera Patang ॥

Sawan Suhana Aaya Hai

Sawan Hai Suhana Suhana Suhana, Darshan Maa Ka Pana Hai Pana Hai Pana ॥

Saj Rahi Meri Ambe Maiya Sunahare Gote Mein

Saj Rahi Meri Ambe Maiya, Sunehri Gote Mein । Roophari Gote Mein ॥

Tuti Jhupdiya Meri Maa Garib Ghar Aajana

Tuti Jhupdiya Meri Maan, Garib Ghar Aa Jana । Bade Bade Log Maiya Jagran Karaye