Ram Darbar Hai Jag Sara,
Ram Hi Teeno Lok Ke Raja,
Sabke Pratipala Saake Aadhaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥
Ram Ka Bhed Na Paya Ved,
Nigmahoon Neti Neti Uchchaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara.
Ramapati Ram Umapati Shambhoo,
Ek Dooje Ka Naam Ur Dhaara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥
Teen Lok Mein Ram Ka,
Saza Hua Darbar,
Jo Jahaan Sumire Wahin Daras,
Den Use Ram Udaar.
Jai Jai Ram Siyaram,
Jai Jai Ram Siyaram ॥
Ram Mein Sarv Ram Mein Sab Maahi,
Roop Viraat Ram Sam Naahin,
Jitne Bhi Brahmaand Rache Hain,
Sab Viraat Prabhu Maahi Basen Hain ॥
Roop Viraat Dhare to,
Chaudah Bhuvan Mein Nahin Aate Hain,
Simatie to Hanuman Hriday Mein,
Sita Sahit Samaate Hain ॥
Patit Udharan Deen Bandhu,
Patito Ko Paar Lagaten Hain,
Ber Ber Shabari Ke Haathon,
Ber Prem Se Khaate Hain ॥
Jog Jatan Kar Jogi Jinako,
Janam Janam Nahin Paate Hain,
Bhakti Ke Bas Mein Hokar Ke Ve,
Baalak Bhi Ban Jaate Hain ॥
Yogi Ke Chintan Mein Ram,
Maanav Ke Manthan Mein Ram,
Tan Mein Ram Man Mein Ram,
Srishti Ke Kan Kan Mein Ram ॥
Aati Jaati Shwas Mein Ram,
Anubhav Mein Aabhaas Mein Ram,
Nahin Tark Ke Paas Mein Ram,
Basaten Mein Vishwaas Mein Ram ॥
Ram to Hain Aanand Ke Sagar,
Bhar Lo Jiski Jitni Gaagar,
Keejo Kshama Dosh Truti Swaami,
Ram Namami Namami Namami ॥
Ananta Anant Abheda Abhed,
Aagamya Gamya Paar Ko Paara,
Ram Darbar Hai Jag Sara,
Ram Darbar Hain Jag Sara ॥