Radhe Radhe Japa Karo (राधे राधे जपा करो: भजन)


Radhe Radhe Japa Karo,
Krishn Naam Ras Piya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
Radha Degi Tumko Shakti,
Milegi Tumko Krishn Ki Bhakti,
Milegi Tumko Krishn Ki Bhakti,
Radhe, Kripa Drishti Barsaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Radha Rani Hai Maharani,
Mahima Unki Sab Jag Jani,
Mahima Unki Sab Jag Jani,
Radhe, Charnon Mein Priti Kiya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Bholi Bhali Sidhi Sadi,
Vo Hai Sabse Nyari Nyari,
Vo Hai Sabse Nyari Nyari,
Radhe, Charnon Mein Shish Jhukaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Radhe Joo Main Sharan Tihari,
Tumhari KrIpa Se Mile Bihari,
Tumhari KrIpa Se Mile Bihari,
Radhe, Radhe Sharan Mein Jaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Braj Mandal Mein Goonj Hai Radhe,
Krishn Ki Vo Hai Pran Aradhe,
Krishn Ki Vo Hai Pran Aradhe,
Aisi, Yugal Chhavi Pe Bali Jaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
Bhaktibharat Lyrics

Radhe Radhe Japa Karo,
Krishn Naam Ras Piya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
राधे राधे जपा करो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राधे राधे जपा करो, कृष्ण नाम रस पिया करो, राधे राधे जपा करों, कृष्ण नाम रस पिया करो ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Maa Rewa: Tharo Pani Nirmal

Ma Rewa Tharo Paani Nirmal, Khal Khal Behto Jaye Re..

Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain

Maa Sharde Kahan Tu, Veena Baja Rahi Hain, Kis Manju Gyan Se Tu

Bhajan Maa Sharade Vandana

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa, Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Saraswati Amritwani

Suramay Veena Dharini, Saraswati Kala Nidhaan, Paavan Aasheesh Se Karade, Jan Jan Ka Kalyaan ।..