Radha Ke Man Mai Bas Gaye Kunj Bihari (राधा के मन में, बस गए श्याम बिहारी - भजन)


Shyam Rang Mein Rang Gai Radha,
Bhooli Sudh-budh Sari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥
Shyam Naam Ki Chunar Odhi,
Shyam Naam Ki Chudiyan,
Ang-ang Mein Shyam Samaye,
Mit Gayi Sari Dooriyan,
Kano Mein Kundal Gal Vaijanti,
Mala Lage Pyari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Baith Kadam Ki Dal Kanhaiya,
Murali Madhur Bajaye,
Sanjh Sakare Murali Ke Swar,
Radha-radha Gaye,
Iss Murali Ki Tan Pe Jaye,
Ye Duniya Balihari,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Adhar Sudha Ras Murali Raje,
Kanha Ras Rachaye,
Krishn Rachaiya Radha Rachna,
Prem Sudha Barsaye,
Prem Magan Ho Sab Hi Bolo,
Jay Ho Banke Bihari,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Shyam Rang Mein Rang Gai Radha,
Bhooli Sudh-budh Sari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥
राधा के मन में, बस गए श्याम बिहारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्याम रंग में रंग गई राधा, भूली सुध-बुध सारी रे, राधा के मन में...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ki Nahi

Wo Namaste Dua Aur, Salam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Mere Sarkar Aaye Hain

Saja Do Ghar Ko Gulsan Sa, Mere Sarkar Aaye Hain, Mere Sarkar Aaye Hain, Lage Kutia Bhi Dulhan Si,
Lage Kutia Bhi Dulhan Si, Mere Sarkar Aaye Hain, Saja Do Ghar Ko Gulsan Sa, Mere Sarkar Aaye Hain ॥

Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal

Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal, Le Ke Avatar Aana Gazab Ho Gaya, Treta Yug Mein The Tum Aaye Dvapar Mein Bhi, Treta Yug Mein The Tum Aaye Dvapar Mein Bhi, Tera Kaliyug Mein Aana Gajab Ho Gaya, Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal ॥

Krishna Ghar Nand Ke Janme Sitara Ho To Aisa Ho

Krishna Ghar Nand Ke Janme, Dulara Ho To Asa Ho, Log Darshan Chale Aye, Sitara Ho To Aisa Ho ॥

Jai Jai Surnayak Jan Sukhdayak Prantpal Bhagvant

Jai Jai Surnayak Jan Sukhdayak Pranatpaal Bhagvanta । Go Dwij Hitkari Jai Asurari Sidhunsuta Priy Kanta