Prem Ke Pale Prabhu Ko Niyam Badalte Dekha (प्रबल प्रेम के पाले पड़ के: भजन)


Prabal Prem Ke Pale Pad Ke,
Prabhu Ka Niyam Badalte Dekha ।
Apna Maan Bhale Tal Jaye,
Bhakt Ka Maan Na Talte Dekha ॥
Jinki Kewal Kripa Drshti Se,
Sakal Vishwa Ko Palte Dekha ।
Usko Gokul Ke Makhan Par,
Sau-sau Baar Machalte Dekha ॥

Jinka Dhyan Biranchi Shambhu,
Sankadik Na Sanbhalte Dekha ।
Usko Baal Sakha Mandal Mein,
Lekar Gend Uchhalte Dekha ॥

Jinke Charan Kamal Kamla Ke,
Kartal Se Na Nikalte Dekha ।
Usko Gokul Ki Galiyon Mein,
Kantak Path Par Chalte Dekha ॥

Jinki Vakr Bhrkuti Ke Bhay Se,
Sagar Sapt Ubalte Dekha ।
Usko Maan Yashoda Ke Bhay Se,
Ashru Bindu Drg Dhalte Dekha ॥

Prabal Prem Ke Pale Pad Ke,
Prabhu Ka Niyam Badalte Dekha ।
Apna Maan Bhale Tal Jaye,
Bhakt Ka Maan Na Talte Dekha ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
प्रबल प्रेम के पाले पड़ के: भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रबल प्रेम के पाले पड़ के, प्रभु का नियम बदलते देखा। अपना मान भले टल जाए...
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanJanmashtami BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanFagan Mela BhajanShri Shayam BhajanAnup Jalota Bhajan

Other Popular Prem Ke Pale Prabhu Ko Niyam Badalte Dekha Video

By Rajeshwaranand Ji Maharaj

USA Bhajn By Swasti Pandey

By Prernamurti Bharti Shriji

Baba Shri Chitra Vichitra Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ki Nahi

Wo Namaste Dua Aur, Salam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Mere Sarkar Aaye Hain

Saja Do Ghar Ko Gulsan Sa, Mere Sarkar Aaye Hain, Mere Sarkar Aaye Hain, Lage Kutia Bhi Dulhan Si,
Lage Kutia Bhi Dulhan Si, Mere Sarkar Aaye Hain, Saja Do Ghar Ko Gulsan Sa, Mere Sarkar Aaye Hain ॥

Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal

Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal, Le Ke Avatar Aana Gazab Ho Gaya, Treta Yug Mein The Tum Aaye Dvapar Mein Bhi, Treta Yug Mein The Tum Aaye Dvapar Mein Bhi, Tera Kaliyug Mein Aana Gajab Ho Gaya, Jai Ho Jai Ho Teri Maa Yashoda Ke Lal ॥

Krishna Ghar Nand Ke Janme Sitara Ho To Aisa Ho

Krishna Ghar Nand Ke Janme, Dulara Ho To Asa Ho, Log Darshan Chale Aye, Sitara Ho To Aisa Ho ॥

Jai Jai Surnayak Jan Sukhdayak Prantpal Bhagvant

Jai Jai Surnayak Jan Sukhdayak Pranatpaal Bhagvanta । Go Dwij Hitkari Jai Asurari Sidhunsuta Priy Kanta