Phoolon Mein Saj Rahe Hai (फूलों में सज रहे हैं - भजन)


Phoolon Mein Saj Rahe Hain,
Shri Vrindavan Bihari,
Aur Sath Saj Rahi Hai,
Vrishbhanu Ki Dulari ॥
Tedha Sa Mukut Sar Par,
Rakha Hai Kis Ada Se,
Karuna Baras Rahi Hai,
Karuna Bhari Nigah Se,
Bin Mol Bik Gayi Hoon,
Jab Se Chhabi Nihari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Bahiyan Gale Mein Daale,
Jab Donon Muskurate,
Sab Ko Hi Pyare Lagte,
Sab Ke Hi Man Ko Bhate,
In Donon Pe Main Sadke,
In Donon Pe Main Vaari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Shringar Tera Pyare,
Shobha Kahoon Kya Uski,
It Pe Gulabi Patka,
Ut Pe Gulabi Sari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Neelam Se Sohe Mohan,
Swarnim Si Sohe Radha,
It Nand Ka Hai Chhora,
Ut Bhaanu Ki Dulari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Tedhi Si Teri Chitvan,
Har Ek Ada Hai Banki,
Banke Ke Banke Naina,
Maare Jigar Katari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Chun Chun Ke Kaliya Jisne,
Bangla Tera Banaya,
Divya Aabhushnon Se,
Jisne Tujhe Sajaya,
Un Hathon Pe Main Sadke,
Un Hathon Pe Main Vaari,
Phoolon Mein Saj Rahe Hai,
Shri Vrindavan Bihari ॥

Phoolon Mein Saj Rahe Hain,
Shri Vrindavan Bihari,
Aur Sath Saj Rahi Hai,
Vrishbhanu Ki Dulari ॥
फूलों में सज रहे हैं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृन्दावन बिहारी, और साथ सज रही है, वृषभानु की दुलारी ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanHariyali Teej Bhajan

Other Popular Phoolon Mein Saj Rahe Hai Video

Sabse Unchi Prem Sagai By Jaya Kishori

Sabse Unchi Prem Sagai By Shri Devkinandan Thakur Ji

Sabse Unchi Prem Sagai Srishti Bhandari

Sabse Unchi Prem Sagai By Varsha Shrivastava

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Bade Maan Se Zamana Maa Tujhe Pujata Hai

Bade Maan Se Jamana, Maan Tumko Poojta Hai, Tere Naam Ka Tarana...

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr