O Mangalkari Charno Mein Shat Shat Pranam (ओ मंगलकारी, चरणों में शत शत प्रणाम: भजन)


O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam ॥
Doha- Mehendipur Mein Dekhle,
Jhukti Ye Duniya Sari,
Katate hai Unke Sankat,
Aate Jo Nar Nari ॥

Mahima Ka Teri,
Kese Karun Bakhan,
O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam,
Duniya Main Jisne Wo Baba,
Tumko Janam Diya,
Duniya Ki Us Pujya Maa Ke,
Charano Ko Pranam,
Shakti Mila Hai Tumko,
Jis Maa Ke Dudh Se,
Us Ratan Us Nayan,
Uske Tan Ko Pranam,
O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam ॥

Mukh Mein Jo Sury Rakha,
To Prakaash Gum Hua,
Hey Anjani Ke Nandan,
Lo Kabul Kar Dua,
Us Saphar Us Dagar,
Us Samay Ko Pranam,
Us Saphar Us Dagar,
Us Samay Ko Pranam,
Pal Mein Andhera Taala,
Bramhand Ka Tabhi,
Us Umar Us Nazar,
Aur Bal Ko Pranam,
O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam ॥

Sankat Hai Katate Jahan,
Mehendipur Woh Dham Hai,
Kyun Ki Waha Par Bhi Tere,
Hraday main Ram Hai,
Bhagate Hai Bhoot Baba,
Ek Tere Naam Se,
Sunte Hai Khus Tu Hota,
Bas Ram Naam Se,
Hota 'Ajay' Jo Teri,
Bhakti Main Kho Gaya,
Dhiraj Hai Milata Usko,
Aata Jo Dham Hai,
Mohan Ki Murali Jesi,
Maan Main Sama Gae,
Asi Nirali Teri,
Chavi Ko Pranam,
Janmo Janam Na Hogi,
Janmo Janam Na Hogi,
Mahima Teri Bakhan,
Asi Alokik Shakti,
Amar Ko Pranam,
O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam ॥

Mahima Ka Teri,
Kese Karun Bakhan,
O Mangalkari,
Charanon Main Sat Sat Pranam ॥
ओ मंगलकारी, चरणों में शत शत प्रणाम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
महिमा का तेरी, कैसे करूँ मैं बखान, ओ मंगलकारी, चरणों में शत शत प्रणाम ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥

Yeh to Pehne Hai Sarpo Ki Mala Mera Shankar Bada Bhola

Yah to Pahne Hain Sarpon Ki Mala, Mera Shankar Bada Bhola Bhala। Bam Bhola Bam Bhola Bam Bhola, Bam Bhola Bam Bhola Bam Bhola। Bam Bhola Bam Bhola Bam Bhola, Bam Bhola Bam Bhola Bam Bhola।

Satguru Main Teri Patang

Swansan Di Mala Nal Simaran Main Tera Naam, Tera Naam Tera Naam Tera Naam Tera Naam

Mehra Waliya Rakhi Charna De Kol

Meharaan Vaaliya Saiyaan Rakhee Charana De Kol, Rakhee Charana De Kol Rakhee Charana De Kol, Meharaan Vaaliya Saiyaan Rakhee Charana De Kaul

Satguru Mere Kalam Hath Tere

Satguru Mere Kalam Hath Tere, Ke Sohne Sohne Lekh Likh De, Main Vaari Main Vaari Vaari Jaava,