Nau Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Dhyaan Karo Maan Navdurga Ka,
Jisne Jagat Banaya,
Naun Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Naun Din Ka Tyohar ॥
Pratham Shailputri Ki Pooja,
Brahmacharini Ki Din Dooja,
Maa Chandraghanta Ki Seva,
Karke Sab Sukh Paaya,
Naun Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Naun Din Ka Tyohar ॥
Chauthe Din Kushmanda Bhakti,
Skandamata Pancham Shakti,
Aur Chhatha Din Kaatyaayani Ka,
Karde Kanchan Kaaya,
Naun Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Naun Din Ka Tyohar ॥
Saptam Din Shiv Kaalratri,
Ashtam Din Mahagauri Maya,
Siddhidatri Ka Nauva Din,
Aparampaar Hai Maya,
Naun Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Naun Din Ka Tyohar ॥
Nau Din Tyohar Hai Aaya,
Dhyan Karo Maa Navdurga Ka,
Jisne Jagat Banaya,
Nau Din Ka Tyohar Hai Aaya,
Naun Din Ka Tyohar ॥