Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri (नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी: भजन)


Naiya Majhdhar Meri,
Tuti Patwar Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥
Ban Ke Sahara Mujhe,
Paar Utaar De,
Bigdi Ye Zindagani,
Isko Sanwar De,
Naiya Chalaun Kaise,
Paar Lagaun Kaise,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Aata Nahin Hai Mujhko,
Toofan Se Khelna,
Vash Mein Nahin Hai Mere,
Hichkole Jhelna,
Aasha Tootegi Meri,
Naiya Doobegi Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Kar Ke Daya Mujhko,
Bhanwar Se Nikal De,
Banvari Naav Meri,
Kinare Pe Daal De,
Hoga Ehsaan Tera,
Karde Kalyaan Mera,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥

Naiya Majhdhar Meri,
Tuti Patwar Meri,
Ban Ke Tu Manjhi,
Aaja Shyam Mere ॥
नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नैया मझधार मेरी, टूटी पतवार मेरी, बन के तू मांझी, आजा श्याम मेरे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Ghar Maiya Aai Hai

Mere Ghar Maiya Aai Hai , Soi Takadir Jagai Hai Soi Takadir Jagai Hai, Mere Ghar Maiya Aai Hai , Maiya Ne Bigdi Banai Hai॥

Jab Bhak Bulate Hain Hari Daud Ke Aate Hain

Jab Bhakt Bulate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain ॥ Vo to Din Aur Duhkhion Ko ॥

Bhasm Tere Tan Ki Ban Jau Bholenath

Bhasm Tere Tan Ki, Ban Jaun Bholenath, Bhakti Mein Teri, Ram Jaun Bholenath, Shaam Subah Gun Tera, Gaun Bholenath, Bhakti Mein Teri, Ram Jaun Bholenath ॥

Karte Sab Pe Daya Ki Najar Shiv Bhole Shankar

Karate Sab Par Daya Ki Najar, Shiv Bhola Shankar, nBaba Bhole Baba Baba Bhole Baba,
Baba Bhole Baba Baba Bhole Baba ॥

Bhole Baba Tere Darbar Mein Jo Aate Hai

Bhole Baba Tere Darwar Main Jo Aate Hai, Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai,
Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai ॥