Na Jane Kaun Se Gun Par Dayanidhi Reejh Jate Hain (ना जाने कौन से गुण पर, दयानिधि रीझ जाते हैं - भजन)


Na Jane Kaun Se Gun Par,
Dayanidhi Reejh Jate Hain ।
Yahi Sad Granth Kahte Hain,
Yahi Hari Bhakt Gate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Nahin Swikar Karte Hain,
Nimantran Nrup Suyodhan Ka ।
Vidur Ke Ghar Pahunchkar Bhog,
Chhilkon Ka Lagate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥

Na Aaye Madhupuri Se Gopiyon Ki,
Du:kh Vyatha Sunakar ।
Drupdaja Ki Dasha Par,
Dwarka Se Daude Aate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥

Na Roye Ban Gaman Mein,
Shri Pita Ki Vednaon Par ।
Utha Kar Geedh Ko Nij God Mein ,
Aansu Bahate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥

Kathinta Se Charan Dhokar,
Mile Kuchh Bindu Vidhi Har Ko ।
Vo Charanodak Swayam Kevat Ke,
Ghar Jakar Lutate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥

Na Jane Kaun Se Gun Par,
Dayanidhi Reejh Jate Hain ।
Yahi Sad Granth Kahate Hain,
Yahi Hari Bhakt Gate Hain ॥
ना जाने कौन से गुण पर, दयानिधि रीझ जाते हैं - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ना जाने कौन से गुण पर, दयानिधि रीझ जाते हैं। यही सद् ग्रंथ कहते हैं, यही हरि भक्त गाते हैं..., Rajan Ji
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanKrishna BhajanJanmashtami BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanRajan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Maa Rewa: Tharo Pani Nirmal

Ma Rewa Tharo Paani Nirmal, Khal Khal Behto Jaye Re..

Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain

Maa Sharde Kahan Tu, Veena Baja Rahi Hain, Kis Manju Gyan Se Tu

Bhajan Maa Sharade Vandana

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa, Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Saraswati Amritwani

Suramay Veena Dharini, Saraswati Kala Nidhaan, Paavan Aasheesh Se Karade, Jan Jan Ka Kalyaan ।..