Meri Bawana - Jisne Raag Dwesh Jain Path (मेरी भावना: जिसने राग-द्वेष कामादिक - जैन पाठ)


Jisne Raag-dwesh Kamadik,
Jeete Sab Jag Jaan Liya
Sab Jeevon Ko Moksh Maarg Ka,
Nispruh Ho Upadesh Diya,
Buddh, Veer Jin, Hari,
Har Brahma Ya Usko Swadhin Kaho
Bhakti-bhaav Se Prerit Ho,
Yah Chitt Usei Mein Leen Raho ॥1॥
Vishayon Ki Asha Nahin Jinke,
Saamya Bhaav Dhan Rakhte Hain
Nij-par Ke Heet Saadhan Mein,
Jo Nishdin Tatpar Rahate Hain,
Swarth Tyag Ki Kathin Tapasya,
Bina Khaid Jo Karte Hain
Aise Gyani Sadhu Jagat Ke,
Duhkh-samooh Ko Harte Hain ॥2॥

Rahe Sada Satsang Unheen Ka,
Dhyaan Unheen Ka Nitya Rahe
Un Hi Jaisee Charrya Mein Yah,
Chitt Sada Anurakt Rahe,
Nahin Sataun Kisi Jeev Ko,
Jhooth Kabhi Nahin Kaha Karun
Par-dhan-vanita Par Na Lubhaun,
Santoshaamrit Piya Karun ॥3॥

Ahankaar Ka Bhaav Na Rakhoon,
Nahin Kisi Par Khed Karoon
Dekh Dusroon Ki Badhti Ko,
Kabhi Na Irsha-bhaav Dharoon,
Rahe Bhavna Aisi Meri,
Saral-satya-vyavahaar Karoon
Bane Jahaan Tak Is Jeevan Mein,
Auron Ka Upkaar Karoon ॥4॥

Maitreebhaav Jagat Mein,
Mera Sab Jeevon Se Nity Rahe
Deen-du:Khi Jeevon Par Mere,
Ursse Karuna Shrot Bahe,
Durjan-krur-kumarg Raton Par,
Khybh Nahin Mujhko Aave
Samyabhaav Rakhoon Main Un Par,
Aisi Parinati Ho Jaave ॥5॥

Gunijanon Ko Dekh Hriday Mein,
Mere Prem Umad Aave
Bane Jahaan Tak Unki Seva,
Karke Yah Man Sukh Paave,
Hooun Nahin Kritaghn Kabhi Main,
Droh Na Mere Ur Aave
Gun-grahan Ka Bhaav Rahe Nit,
Drishti Na Doshon Par Jaave ॥6॥

Koyi Bura Kaho Ya Achha,
Lakshmi Aave Ya Jaave
Laakhon Varshon Tak Jeeun,
Ya Mrityu Aaj Hi Aa Jaave ।
Athva Koyi Kaisa Hi,
Bhay Ya Laalach Dene Aave ।
To Bhi Nyaya Maarg Se Mere,
Kabhi Na Pad Digne Paave ॥7॥

Hokar Sukh Mein Magn Na Phoole,
Duhkh Mein Kabhi Na Ghabrave
Parvat Nadi-shmshaan,
Bhayaanak-atvee Se Nahin Bhay Khaave,
Rahe Adol-akamp Nirantar,
Yah Man, Dridhtar Ban Jaave
Ishtaviyog Anishtayog Mein,
Sahanshilta Dikhlaave ॥8॥

Sukhi Rahe Sab Jeev Jagat Ke,
Koi Kabhi Na Ghabraave
Bair-paap-abhimaan Chhod Jag,
Nity Naye Mangal Gaave,
Ghar-ghar Charcha Rahe Dharm Ki,
Dushkrt Dushkar Ho Jaave
Gyaan-charit Unnat Kar Apna,
Manuj-janm Phal Sab Paave ॥9॥

Eeti-bhiti Vyaape Nahin Jagmen,
Vrishti Samay Par Hua Kare
Dharmanishth Hokar Raja Bhi,
Nyay Praja Ka Kiya Kare,
Rog-mari Durbhiksh Na Phaile,
Praja Shanti Se Jiya Kare
Param Ahinsa Dharm Jagat Mein,
Phail Sarvahit Kiya Kare ॥10॥

Phaile Prem Paraspar Jag Mein,
Moh Dur Par Raha Kare
Apriya-katuk-kathor Shabd,
Nahin Koi Mukh Se Kaha Kare,
Bankar Sab Yugveer Hriday Se,
Deshonnati-rat Raha Karen
Vastu-swarup Vichaar Khushi Se,
Sab Du:Kh Sankat Saha Karen ॥11॥
मेरी भावना: जिसने राग-द्वेष कामादिक - जैन पाठ - हिन्दी में पढ़ें
मेरी भावना: जैन पाठ - जिसने राग-द्वेष कामादिक, जीते सब जग जान लिया, सब जीवों को मोक्ष मार्ग का निस्पृह हो उपदेश दिया..
Bhajan Jain BhajanJainism BhajanDaslakshan Parva BhajanParyushana BhajanJain Samaj Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Vasa Hai Bhagto Ke Dil Me Naam Bhole Nath Ka

Shiv Apnon Se Naam Suna Hai Tere Dhaam Ka, Vasa Hai Bhagto Ke Dil Mein Naam Bhole Naath Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Laagi Tum Sang Yaari Mere Banke Bihari

Laagi Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari, Banke Bihari, Mere Kunj Bihari, Laagin Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari ॥

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

JaiKara Mere Kedareshwaray Jai Kara

Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara, Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara ॥