Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan (मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे: भजन)


Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare
Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare
Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥
Teri Kaya Kanchan Kanchan,
Kiranon Ka Hai Jisme Basera ।
Teri Soond Sundali Murat,
Teri Ankhon Me Khushiyon Ka Dera ।
Teri Mahima Aparampar,
Tujhko Puje Ye Sansar ।
Prabhu Amrit Ras Barsa Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladale Ganesh Pyare Pyare ॥

Prabhu Bhajan Tumhare Gayen,
Sabse Pahale Ham Tumko Manaen ।
Dhup Deepo Ki Jyoti Jalaen,
Man Mandir Me Jhanki Sajaen ।
Mere Bhole Bhagwan,
De Do Bhakti Ka Daan ।
Prabhu Naiya Paar Laga Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥

Mere Vidhan Vinashak Deva,
Sabse Pahale Karen Teri Seva ।
Sare Jag Me Anand Chhaya,
Bolo Jay Jay Gajanand Deva ।
Baje Sur Aur Taal,
Tera Gun Gaye Sansar ।
Ghunghru Ki Khanak Khanak Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे, भोले बाबा जी की आँखों के तारे, प्रभु सभा बीच में आ जाना आ जाना...
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanChaturthi BhajanGanesh Chaturthi BhajanRajasthani BhajanGrah Pravesh Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ramji O Ramji Sancho Tero Naamji

Ramji O Ramji, Sancho Tero Naam Ji Sancho Tero Naam, Jag Mein Sare Jhutho

Bhajan: Siyarani Ka Achal Suhag Rahe

Siyarani Ka Achal Suhag Rahe । Maiya Rani Ka Achal Suhag Rahe । Raja Ram Ji Ke Sir Par Taaj Rahe | Jab Tak Prithvi Ahishish Rahe ।

Ramrajya - Shanti ke doot hai hum

Shanti Ke Doot Hai Hum, Shanti Ke Hai Hum Poojari, Ho Preet Reet Sheel Ho Ye Dharti Humari, Tulsi Vaani Shri Ram Ki Ye Kahani

Hame Nij Dharm Par Chalna Sikhati Roj Ramayan

Hamen Nij Dharm Par Chalna, Sikhati Roj Ramayan, Sada Shubh Aachran Karna, Sikhati Roj Ramayan ॥

Hanuman Ne Kar Diya Kaam Chutki Bajay Karke

Sare Haar Gaye Jor Lagae Karke, Hanuman Ne Kar Diya Kaam, Chutki Bajai Karake ॥