Mere Ghar Aao Laxmi Maa (घर में आओ लक्ष्मी माता - भजन)


Ghar Mein Aao Lakshmi Mata,
Aao Padharo Shri Ganraja ।
Ghar Mein Aao Lakshmi Mata,
Aao Padharo Shri Ganraja ॥Deewali Ka Tyohaar Aaya,
Humne Ghar Ko Deepo Se Sajaya ।
Maa Mere Ghar Aana
Bhakto Ko Bhool Na Jana,
Sabke Ghar Me Charan Dhar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Dhan Ki Devi Sabko Daulat Deti,
Deewali Ka Uphaar Deti ।
Ho Khushiya Deti Umange Deti,
Sukho Ka Sansaar Deti ।
Maa Mere Ghar Aana
Khushiyo Se Isse Sajana ।
Paavan Bhakto Ka Ghar Kar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Kamla San Maa Sabme Mamta Lutati,
Deva Ganpati Hai Mangl Murti O ।
Lakshmi Maa Bhandare Bharti,
Deva Hai Kaamna Purti ।
Maa Mere Ghar Aana
Haath Jodu Bhool Na Jana ।
Khali Jholi Sabhi Ki Bhar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Deewali Ka Tyohaar Aaya,
Humne Ghar Ko Deepo Se Sajaya।
Maa Mere Ghar Aana
Bhakto Ko Bhool Na Jana,
Sabke Ghar Me Charan Dhar Jana ॥
घर में आओ लक्ष्मी माता - भजन - हिन्दी में पढ़ें
घर में आओ लक्ष्मी माता, आओ पधारो श्री गणराजा ॥ दीवाली का त्यौहार आया..
Bhajan Diwali Pujan BhajanLakshmi Puja BhajanGanesh Puja BhajanDiwali BhajanLaxmi Puja Maha Lakshmi BhajanAshta Lakshmi BhajanTripti Shakya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Awadhpati Bole Yun Mukh Se Suno Veer Hanuman

Avadhapati Bole Yun Mukh Se, Suno Veer Hanuman, Varsho Baad Pada Hai Tumase, Ek Jaruri Kaam,
Dharati Par Maanav Jaati Yun, Kar Rahi Hahakar, Tumhare Kandhe Par Dharata, Unake Jeevan Ka Bhaar, Ke Tum Vahan Baithe Bali, Karo Har Ek Ki Bhali, Ke Tum Vahaan Baithe Bali, Karo Har Ek Ki Bhali ॥

Mere Maan Ki Pyas Bujha De Hey Anjani Ke Lalna

Mere Maan Ki Pyas Bujha De, Hey Anjani Ke Lalana, Chahun Mein Tumse Milna Balaji, Chahun Mein Tumse Milana ॥

Salasar Mein Aisa Ek Sardar Hai

Salaasar Mein Aisa Ek Saradar Hai, Jisake Aage Jhukata Ye Sansaar Hai, Sachchi Sarakaar Hai Sachcha Darabaar Hai, Salaasar Mein Aisa Ek Saradar Hai, Jisake Aage Jhukata Ye Sansaar Hai ॥

Maine Tere Hi Bharose Hanuman

Maine Tere Hi Bharose Hanuman, Sagar Main Naiya Daal Dae ॥

Veer Hanumana Veer Bajranga

Veer Hanuman Veer Bajaranga, Shivaji Ke Roop Shree Ram Ke Sanga, Bhasm Babhut Ki Sab Lanka,
Shree Hari Naam Sindur Ranga, Veer Hanuman Veer Bajaranga, Veer Hanuman Veer Bajaranga ॥