Mann Fula Fula Phire Jagat Mein (मन फूला फूला फिरे जगत में - भजन)


Mann Fula Fula Phire,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥
Mata Kahe Yah Putr Hamara,
Bahan Kahe Beer Mera,
Bhai Kahe Yah Bhuja Hamari,
Nari Kahe Nar Mera,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Pet Pakad Ke Mata Rove,
Baanh Pakad Ke Bhai,
Lapat Jhapat Ke Tiriya Rove,
Hans Akela Jae,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Jab Tak Jeeve Mata Rove,
Bahan Rove Das Masa,
Terah Din Tak Tiriya Rove,
Pher Kare Ghar Vasa,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Chaar Jana Mil Gaji Banai,
Chadha Kaath Ki Ghodi,
Chaar Kone Aag Lagai,
Funk Diyo Jas Hori,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Haad Jale Jas Laakdi Re,
Kesh Jale Jas Ghas,
Sona Jaisi Kaya Jal Gai,
Koi Na Aayo Paas,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Ghar Ki Tiriya Dhundhan Lagi,
Dhundi Phiri Chahu Desha,
Kahat Kabir Suno Bhi Sadho,
Chhodo Jagat Ki Aasha,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥

Man Fula Fula Phire,
Jagat Mein Kaisa Nata Re ॥
मन फूला फूला फिरे जगत में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मन फूला फूला फिरे, जगत में कैसा नाता रे ॥ माता कहे यह पुत्र हमारा..
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanKabir BhajanKabir Vani BhajanArya Samaj BhajanPrakash Gandhi BhajanRajasthani Bhajan

Other Popular Mann Fula Fula Phire Jagat Mein Video

By Tarasingh Dodve

By Sunita Swami

By Maithili Thakur, Rishav Thakur

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re

Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re, Dedo Apane Bhatko Ka Tum Saath Re, Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥

Chalo Darshan Ko Mehandipur Chaliye

Chalo Darshan Ko Mehendipiur Chaliye, Jaha Balaji Ka Darwar Hai, Tere Shankat Sabhi Kat Jayengen,
Wo Hi Shankat Ki Katan Haar hai, Chalo Darshan Ko Mehendipiur Chaliye ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai, Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai, Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Aisa Hai Sewak Shree Ram Ka

Sewa Main Gujare, Waqt Hanuman ka, Asa Hai Sewak Shree Ram Ka, Shree Ram Ka, Asa Hai Sewak Shree Ram Ka ॥