Us Unche Mandiron Wali Ki,
Meri Maiya Mehro Wali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki ॥
Darbar Ki Shaan Nirali Hai,
Khali Na Gaya Sawali Hai,
Soi Kismat Khole Maiya,
Ye Bhagya Jagane Wali Hai,
Sunti Hai Sada Sawali Ki,
Meri Jholi Bharne Wali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki ॥
Jo Iske Ladle Hote Hain,
Vo Sada Mauj Mein Hote Hain,
Maiya Ka Koi Jawab Nahin,
Ye Bhakt Maiya Ke Kahte Hain,
Lakshmi Durga Maan Kali Ki,
Maan Asht Bhujaon Wali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki ॥
Bin Mange Jholi Bhar Degi,
Tere Man Ki Maiya Sun Legi,
Chal ‘Sneh’ Maiya Ke Mandir Mein,
Ye Dukhde Tere Har Legi,
Deeno Ki Maan Rakhwali Ki,
Jai Bolo Vaibhavshali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki ॥
Us Unche Mandiron Wali Ki,
Meri Maiya Mehro Wali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki,
Main Ladli Sherowali Ki ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजन