Magan Ishwar Ki Bhakti Mein,
Are Mann Kyon Nahin Hota ।
Pada Aalasya Mein Murkh,
Rahega Kab Talak Sota ॥
Jo Ichchha Hai Tere Kat Jayen,
Saare Mail Papon Ke ।
Prabhu Ke Prem Jal Se,
Kyon Nahin Apne Ko Tu Dhota ॥
Vishay Aur Bhog Mein Phans Kar,
Na Barbad Kar Tu Apne Jeevan Ko ।
Daman Kar Chitt Ki Vrtti,
Laga Le Yog Mein Gota ॥
Nahin Sansar Ki Vastu,
Koi Bhi Sukh Ki Hetu Hai ।
Vyatha Inke Liye Phir Kyon,
Samay Anmol Tu Khota ॥
Na Patni Kaam Aayegi,
Na Bhai-putr Aur Pota ।
Dharm Hi Ek Aisa Hai,
Jo Sathi Ant Tak Hoga ॥
Bhatakta Kyon Phire Naahak,
Tu Sukh Ke Liye Murkh ।
Tere Hriday Ke Bhitar Hi Bahe,
Anand Ka Shrota ॥
Magan Ishwar Ki Bhakti Mein,
Are Mann Kyon Nahin Hota ।
Pada Aalasy Mein Murkh,
Rahega Kab Talak Sota ॥