Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai,
Ye Jab Masti Mein Aate Hai,
Tabhi Damru Bajate Hai,
Sakal Srithi Nachate Hai,
Kabhi Natraj Bankar Ke,
Bhole Damru Bajate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥
Sati Ne Pran Jab Tyage,
Daksha Ke Yanga Main Jakar,
Bijyogi Ho Gaye Bhole,
Sati Ki Ye Khabar Pakar,
Rodra Damru Bajakar Shiv,
Maha Tandab Machate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥
Bajaya Ek Din Damaru,
Himachal Raja Ke Dar Par,
Mere Bhole Bane Dulha,
Chale Nadi Pe Jab Chadhkar,
Waha Damru Ki Tano Par,
Ye Bhuto Ko Nachate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥
Bajaya Ek Din Damaru,
Shree Dasharath Ji Ke Dware Par,
Ram Ke Darshan Ki Echha,
Liye Pohanche Waha Shankar,
Waha Damru Bajakar Shiv,
Ye Hanumat Ko Nachate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥
Dhare Shiv Roop Jogi Ka,
Nand Dware Par Jab Aaye,
Yashoda Maa Ne Kanha Ke,
Nahin Jab Darsh Karawae,
Bajakar Shiv Waha Damru,
Kanhaiya Ko Rijhate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai,
Ye Jab Masti Mein Aate Hai,
Tabhi Damru Bajate Hai,
Sakal Srithi Nachate Hai,
Kabhi Natraj Bankar Ke,
Bhole Damru Bajate Hai,
Magan Hokar Ke Shiv Shankar,
Madhur Damru Bajate Hai ॥