Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet (लगी रे मेरी मैया जी से प्रीत: भजन)


Har Ki Koi Chinta Nahi,
Pag Pag Hogi Jeet,
Lagi Re Meri Lagi Re Meri,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet,
Maat Maat Ka Nagma Gaye,
Maat Maat Ka Nagma Gaye,
Ye Jiban Sangini,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥
Mauj Se Hone Laga Gujara,
Maiya Ne Har Kaam Sanwara,
Sanmukh Mitli Maat Bhawani,
Jab Jab Maa Ko Maan Se Pukara,
Deti Nahi Biswas Tutne,
Deti Nahi Biswas Tutne,
Maa Ambe Ki Rit,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥

Jab Jab Maan Se Maa Ko Pukara,
Maiya Ka Sandesa Aaya,
Moh Lobh Jo Laga Bharamane,
Maiya Ne Khud Aap Bachaya,
Aisa Kiya Meri Maiya Ne Jadu,
Aisa Kiya Meri Maiya Ne Jadu,
Sawara Bhavishya Atit,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥

‘Saral’ Bhavani Ka Hai Chakar,
Haath Pakadkar Tune Uvara,
Gam Ke Thapedo Se Doli Thi Naiya,
Banake Khivaiya Maiya Tune Tara,
‘Ramakumar’ Dubega Kaise,
‘Ramakumar’ Dubega Kaise,
Maa Se Jiski Preet,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥

Har Ki Koi Chinta Nahi,
Pag Pag Hogi Jeet,
Lagi Re Meri Lagi Re Meri,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet,
Maat Maat Ka Nagma Gaye,
Maat Maat Ka Nagma Gaye,
Ye Jiban Sangini,
Lagi Re Meri Maiya Ji Se Preet ॥
लगी रे मेरी मैया जी से प्रीत: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हार की कोई चिंता नहीं, पग पग होगी जीत, लगी रे मेरी लगी रे मेरी, लगी रे मेरी मैया जी से प्रीत, मात मात का नगमा गाए, मात मात का नगमा गाए, ये जीवन संगीत, लगी रे मेरी मैया जी से प्रीत ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu