Kuldevi Ki Puja Jo Karta Hai Din Raat (कुलदेवी की पूजा, जो करता है दिन रात: भजन)


Kuldevi Ki Pooja,
Jo Karta Hai Din Raat,
Uske Jeevan Mein Hoti Hai,
Khushiyon Ki Barsaat ॥
Har Ek Bhagat Ki,
Kuladevi Hoti Hai,
Jiske Hi Naam Se Jalti,
Ghar Mein Ye Jyoti Hai,
Duniya Pichhe Chalti,
Jab Kuldevi Ho Sath,
Uske Jeevan Mein Hoti Hai,
Khushiyon Ki Barsaat ॥

Maiya Kripalu Hai Ye,
Badi Bholi Bhali,
Yahi to Hai Maan Gaura,
Yahi Hai Maan Kali,
Roop Aneko Poojo,
Par Kuladevi Ke Sath,
Uske Jeevan Mein Hoti Hai,
Khushiyon Ki Barsaat ॥

Meri Gadhi Mahasar Maiya,
Sath Mere Chalati,
Bhool Jaye Unko Gar Ham,
Ye Hamari Galti,
‘Mittal’ Hardam to,
Maiya Hi Rahati Sath,
Uske Jeevan Mein Hoti Hai,
Khushiyon Ki Barsaat ॥

Kuldevi Ki Pooja,
Jo Karta Hai Din Raat,
Uske Jeevan Mein Hoti Hai,
Khushiyon Ki Barsaat ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
कुलदेवी की पूजा, जो करता है दिन रात: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कुलदेवी की पूजा, जो करता है दिन रात, उसके जीवन में होती है, खुशियों की बरसात ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Jab Bhak Bulate Hain Hari Daud Ke Aate Hain

Jab Bhakt Bulate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain ॥ Vo to Din Aur Duhkhion Ko ॥

Bhasm Tere Tan Ki Ban Jau Bholenath

Bhasm Tere Tan Ki, Ban Jaun Bholenath, Bhakti Mein Teri, Ram Jaun Bholenath, Shaam Subah Gun Tera, Gaun Bholenath, Bhakti Mein Teri, Ram Jaun Bholenath ॥

Karte Sab Pe Daya Ki Najar Shiv Bhole Shankar

Karate Sab Par Daya Ki Najar, Shiv Bhola Shankar, nBaba Bhole Baba Baba Bhole Baba,
Baba Bhole Baba Baba Bhole Baba ॥

Bhole Baba Tere Darbar Mein Jo Aate Hai

Bhole Baba Tere Darwar Main Jo Aate Hai, Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai,
Jholiyan Bharate Hai Wo Khali Nahi Jate Hai ॥

Kya Wo Karega Leke Chadawa

Kya vo Karega Leke Chadhava, Sab Kuchh Tyag Ke Baitha Kahin, Bhakt Nahin Vo Bhala Hai Dhundhata, Gun Dekhe Gunagan Nahin, Main Kahata Nahin Shraddha Hai Buri, Par Karm Taraju Dharm Vahi, Bhakt Nahin Vo Bhala Hai Dhundhata, Gun Dekhe Gunagan Nahin ॥