Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad (कुछ नहीं बिगड़ेगा तेरा, हरी शरण आने के बाद - भजन)


Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Har Khushi Mil Jayegi Tujhe,
Charanon Mein Jhuk Jane Ke Baad ।
Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Prem Ke Manjil Ke Rahi,
Kasht Pate Hain Magar,
Beez Phalta Hai Sada,
Mitti Mein Mil Jane Ke Baad,

Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।

Dekhkar Kali Ghata Ko,
E Bhramar Mat Ho Nirash,
Band Kaliyan Bhi Khilengi,
Raat Dhal Jane Ke Baad,

Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।

Puchhon in Phoolon Se Jakar,
Chhai Hai Kaise Bahar,
Kab Talak Kanton Pe Soya,
Daal Par Aane Ke Baad,

Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।

Jab Talak Hai Bhed Man Mein,
Kuch Nahin Kar Payega,
Rang Layega Ye Sadhan,
Bhed Mit Jane Ke Baad,

Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।

Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Har Khushi Mil Jayegi Tujhe,
Charanon Mein Jhuk Jane Ke Baad ।
Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
Kuch Nahin Bigdega Tera,
Hari Sharan Aane Ke Baad ।
कुछ नहीं बिगड़ेगा तेरा, हरी शरण आने के बाद - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कुछ नहीं बिगड़ेगा तेरा, हरी शरण आने के बाद । हर ख़ुशी मिल जायेगी तुझे..
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanVeerwaar BhajanBrihaspativar BhajanBrihaspati BhajanThursday BhajanGuruwar BhajanRajan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye

Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie । Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥

Main To Jhoom Jhoom Nachu Re Aaj Maiya Ghar Aayi Hai

Main to Jhoom Jhoom Naachu Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Mata Ke Gun Gaoon Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Jhoom Jhoom Naachun Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai ॥

Aaj More Angna Padharo

Aao Maa Bhawani Aao, Aaj More Angna Padharo, Angna Padharo Mere, Angna Padharo, Aaj More Angna Padharo, Aaj Mere Angna Padharo ॥

Sabki Bharti Hai Maa Yahan Par Jholiya

Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa,
Yan Par Jholiyan ॥