Doha Dekh Ke Sagar Ki Laharon Ko,Vanar Sab Ghabraye ।
Kaise Hoga Paar Ye Sagar, Man Hi Man Sakuchaye ॥
Jaamvant Ne Bajrangi Se Jakar Kari Guhar
Siva Tumhare Kaun Ye Sagar Kar Payega Paar
Kaun Lanka Jala Pata,Agar Hanuman Na Hote ।
Pata Na Sita Ka Lag Pata Agar Hanuman Na Hote ॥
Langhqar Ke Samandar Ko, Pahunche Lanka Ke Vo Andar
Dekh Hanuman Ki Takat, Kaanp Uththa Tha Dashkandhar
Kaun Sooraj Nikal Pata, Agar Hanuman Na Hote
Aa Ke Shakti Lagi Aisi, Murchha Kha Gaye Lakshman
Sanjeevan Booti Laane Ko, Gaye Vo Daud Ke Tatkshan
Kaun Parvat Utha Paata, Agar Hanuman Na Hote
Ram Ka Naam Lekar Ke, Jo Inke Paas Jaate Hain
Unke Jeevan Ki Takliphen, Ye Pal Bhar Mein Mitaate Hain
Kaun Sankat Mita Pata, Agar Hanuman Na Hote ।