Koi Devta Nahi Hai Bhole Nath Ki Tarah (कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह: भजन)


Koi Devta Nahi Hai,
Bhole Nath Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥Shiv Ne Hamare Waste,
Kya Kya Nahi Kiya,
Sau Baar shukriya Hai,
Sau Sau Baar Shukriya,
Rakhte Khayal Mera,
Aulad Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Ahsaan Inke Lakho Hai,
Kitane Main Ginaun,
Kis Kis Ko Bataun,
Aur Kya Kya Mein Bataun,
Ye Laaj Meri Samjho,
Apni Laaj Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Ab Mangne Ko Haath,
Ye Uthate Nahi Mere,
Kahata ‘Pavan’ Ab Koi,
Chinta Nahi Ghere,
Rahe Sang Ye Hamesa,
Meri Sans Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥

Koi Devta Nahi Hai,
Bhole Nath Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah,
Lutate Hai Khajan Barsat Ki Tarah ॥
कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कोई देवता नही है, भोले नाथ की तरह, लूटाते है खजाना बरसात की तरह, लूटाते है खजाना बरसात की तरह ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Sabse Pahle Gajanan Manaya Tumhe

Sabse Pahale Gajanan Manaya Tumhai, Tera Sumiran Kare Aaj Aa Jaiye, Sabse Pahale Gajanan Manaya Tumhai, Tera Sumiran Kare Aaj Aa Jaiye, Hai Adhure Mere Kaaj Sab Aap Bin,
Pure Karane Prabhu Aaj Aa Jaiye, Sabse Pahale Gajanan Manaya Tumhai, Tera Sumiran Kare Aaj Aa Jaiye ॥

Tumhe Vandana Tumhe Vandana

Tumhe Bandana Tumhe Bandana, Hey Buddhi Ke Data, Sab Devo Ke Gyata, Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥

Kar Do Nazre Karam Ganpati

Kar Do Najare Karam Ganapati, Kar Do Najare Karam Ganapati, Kirapa Ki Najar, Hampe Kar De Agar, Tere Darwar Main Kiya Kami, Kar Do Najare Karam Ganapati,
Kar Do Najare Karam Ganapati ॥

Hey Ganpati Gajanan Mere Dwar Tum Padharo

Hey Ganapati Gajanan, Mere Dwar Tum Padharo, Bigadi Meri Bana Ke, Mera Bhagya Tum Sawaro, Hey Ganapati Gajanan, Mere Dwar Tum Padharo ॥

Hey Ganpati Hey Ganraj Aapka Abhinandan

Hey Ganapati Hey Ganaraj, Aapka Avinandan, Mere Ghar Main Padharo Aaj, Aapka Avinandan,
Hey Ganapati Hey Ganaraj, Aapka Avinandan ॥