Kisliye Aas Chhauden Kabhi Na Kabhi (किसलिए आस छोड़े कभी ना कभी - भजन)


Kis Liye Aas Chhode Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ।
Nath Kab Tak Rahenge Kade Ek Din,
Dekhkar Prem Ansoo Pighal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Sabri Kevat Jatayu Ahilyaji Ke,
Paas Pahunche Swayam Chhodkar Ke Avadh ।
Ye Hain Ghatnayen Sach to Bharosa Hamen,
Khud-ba-khud Aap Akar Ke Mil Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Darsh Dene Ko Raghuvar Ji Ayenge Jab,
Hum Na Manenge Apni Chalaye Bina ।
Jane Denge Na Vapis Kisi Shart Par,
Bas Kamal Pad Pakadkar Machal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Phir Sunayenge Khoti-khari Aapko,
Aur Puchhenge Deri Lagai Kahan?
Phir Nivedan Karenge Na Chhodo Hamen,
Prabhu Ki Joothan Prasadi Pe Pal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Swapn Sakar Hoga Tabhi Ram Ji,
"Jan" Pe Ho Jaye Thodi Kripa Apki ।
Poorn Kar Do Manorath Yah "Rajesh" Ka,
Jane Kab Pran Tan Se Nikal Jayenge ॥

Kisliye Aas Chhoden, Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥
किसलिए आस छोड़े कभी ना कभी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
किस लिए आस छोड़े कभी ना कभी, क्षण विरह के मिलन में बदल जाएंगे । नाथ कब तक रहेंगे कड़े एक दिन,
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanRajeshwaranand Ji Bhajan

Other Popular Kisliye Aas Chhauden Kabhi Na Kabhi Video

By Pujya Rajan Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Prabhu Ram Aye Hain

Avadh Me Horahi Jai Jaikar, Mere Prabhu Ram Aaye Hain, Avadh Me Ho Rahi Jai Jaikar, Mere Prabhu Ram Aaye Hain

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Chalo Ram Ke Dham Ayodhya, Ram Bulate Hain

Chalo Ram Ke Dham Ayodhya Ram Bulate Hai, Saj Gai Nagri Raghav Ki Hum Khabar Sunate Hain

Jan Jan Ka Udhar Karegi Ram Katha

Jan Jan Ka Uddhaar, Karegi Ram Katha, Jan Jan Ka Kalyan, Karegi Ram Katha ॥

Kirpa Khub Kari Hai Aaj to Natho Ke Nath Ji

Kirpa Khub Kari Hai Aaj to Natho Ke Nath Ji Sabko Darshan Dene Nikale Shri Jagannath Ji