Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kabhi Dhanvan Hai Kitna,
Kabhi Insan Nirdhan Hai ।
Kabhi Sukh Hai, Kabhi Dukh Hai,
Isi Ka Naam Jeevan Hai ॥
Jo Mushkil Mein Na Ghabraye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Yah Duniyan Ek Uljhan Hai,
Kahin Dhokha Kahin Thokar ।
Koi Hans-hans Ke Jeeta Hai,
Koi Jeeta Hai Ro-rokar ॥
Jo Girkar Phir Sambhal Jaaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Agar Galti Rulati Hai,
To Rahen Bhi Dikhati Hai ।
Manuj Galti Ka Putla Hai,
Yah Aksar Ho Hi Jati Hai ॥
Jo Kar Le Theek Galti Ko,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Yon Bharne Ko to Duniyan Mein,
Pashu Bhi Pet Bharte Hain ।
Liye Insan Ka Dil Jo,
Vo Nar Parmarth Karte Hain ॥
Pathik Jo Bant Kar Khaye,
Use Insan Kahte Hain ॥
Kisi Ke Kam Jo Aaye,
Use Insan Kahte Hain ।
Paraya Dard Apnaye,
Use Insan Kahte Hain ॥