Karo Hari Ka Bhajan Pyare,
Umariya Biti Jati Hey,
Purab Shubh Karm Kari Aaya,
Manushy Tan Prithvi Par Paya,
Phir Vishayo Se Bharmaya,
Maut Yaad Nahin Aati Hey ,
Karo Hari Ka Bhajan Pyare!
Balpan Khel Mein Khoya,
Joban Mein Kaam Bas Hoya ;
Budhapa Khat Par Soya,
Aas Man Ko Satani Hey,
Karo Hari Ka Bhajan Pyare!
Kutumb Parivar Soot Dara,
Swapn Sam Dekh Jag Sara ;
Maya Ka Jaal Bistara ,
Nahin Ye Sang Jati Hey
Karo Hari Ka Bhajan Pyare!
Jo Hari Ke Charan Chit Lave,
So Bhavsagar Se Tar Jaave ;
Brahmanand Moksh Pad Paave,
Ved Vani Sunaati Hey
Karo Hari Ka Bhajan Pyare!