Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi,
Bhakto Ko Shiv Ne Apne,
Awaj Hai Lagae,
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi ॥
Sawan Ki Rtu Hai Pyari,
Bhakto Karo Tayari,
Shiv Gaura Se Milan Ki,
Maan Mein Umang Bhari,
Maan Mein Umang Bhari,
Tan Ho Gaya Hai Phagan,
Maan Mein Basant Chae,
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi ॥
Jivan Hai Tera Chota,
Baato Mein Na Lagana,
Jab Jab Bhi Aaye Sawan,
Kanvad Shiv Chadhana,
Jis Bhakto Ke Ye Bhag,
Jis Bhakto Ke Ye Bhag,
Usne Shiv Krupa Hai Pae,
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi ॥
Adesh Shiv Ka Hota,
Darshan Ko Sabhi Hai Pate,
Shiv Ki Kripa Jo Hoti,
Kaanvad Tabhi Uthate,
Humne Bhi Shiv Kripa Se,
Humne Bhi Shiv Kripa Se,
Jeevan Mein Krupa Hai Pae,
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi ॥
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi,
Bhakto Ko Shiv Ne Apne,
Awaj Hai Lagae,
Kaanvad Saja Ke Chalo,
Sawan Ritu Hai Aayi ॥
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!