Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun (कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन)


Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ।
Dugdh-Dadhi-Jal-Shahad Se Nahalaya Karoon,
Reshmi Vastra Sundar Pahnaya Karoon ।
Tere Nayanon Mein Kajara Lagata Rahoon, Geet Gata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Kunkum-Kesar Ke Chandan Lagaoon Tujhe,
Pushpmala Main Sundar Pahnaoon Tujhe ।
Pag Mein Paijaniyaan Sundar Pahnata Rahoon Aur Nachata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Pyaar Se Sundar Vyanjan Khilaoon Tujhe,
Dugdh Mein Mishri-Kesar Pilaoon Tujhe ।
Tere Seva Mein Tan-Man Lagata Rahoon, Muskurata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Sath Mein Gaake Lori Sulaoon Tujhe,
Pyara-Sa Geet Ga Ke Jagaoon Tujhe ।
Kant Sapnon Mein Bhi Main Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha.....
कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ और मनाता रहूँ, पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ।
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat Bhajan BhajanShri Vishnu BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRadha Raman Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Durga Hai Meri Maa Ambe Hai Meri Maa

Durga Hai Meri Maa, Ambe Hai Meri Maa | Jo Bhi Dar Pe Aae, Jay Ho

Meri Vipda Taal Do Aakar

Meri Vipda Taal Do Aakar, Hey Jag Janani Mata, Sheron Wali Mata ॥

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Bade Maan Se Zamana Maa Tujhe Pujata Hai

Bade Maan Se Jamana, Maan Tumko Poojta Hai, Tere Naam Ka Tarana...

Woh Hai Jag Se Bemisal Sakhi

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr