Prabhu Kevat Ki Naav Chadhe
Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi Bhakto Se Kaam Pade ।
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chadhe ॥
Avadh Chhod Prabhu Van Ko Dhaaye,
Siya-ram Lakhan Ganga Tat Aaye ।
Kevat Man Hi Man Harshaye,
Ghar Baithe Prabhu Darshan Paye ।
Hath Jod Kar Prabhu Ke Aage Kevat Magan Khade ।
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade ॥
Prabhu Bole Tum Naav Chalao,
Paar Hume Kevat Pahuchao ।
Kevat Bola Suno Hamari,
Charan Dhul Ki Maya Bhaari ।
Main Garib Naiya Hai Meri Naari Na Hoye Pade ।
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chade ॥
Chali Naav Ganga Ki Dhara,
Siya Ram Lakhan Ko Paar Utaara ।
Prabhu Dene Lage Naav Chadhai,
Kevat Kahe Nahin Raghurai ।
Paar Kiya Mainne Tumko,
Ab Mohe Paar Karo ।
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chadhe ॥
Kevat Daud Ke Jal Bhar Le Aaya,
Charan Dhoy Charanamrit Paaya ।
Ved Granth Jin Ke Gun Gaaye,
Kevat Unko Naav Chadhaye ।
Barse Phool Gagan Se Aise,
Bhakt Ke Bhagya Jage ।
Jana Tha Ganga Paar Prabhu Kevat Ki Naav Chadhe ॥