Kabhi Fursat Ho To Jagdambe (कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे - भजन)


Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥
Na Chhatr Bana Saka Sone Ka,
Na Chunri Ghar Mere Taaron Jadi ।
Na Pede Barphi Mewa Hai Maa,
Bas Shraddha Hai Nain Bichhaye Khade ॥
Iss Shraddha Ki Rakh Lo Laaj Hai Maa,
Is Vinti Ko Na Thukra Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Jis Ghar Ke Diye Main Tel Nahin,
Wahan Jot Jagaon Kaise ।
Mera Khud Hi Bishona Darati Maa,
Teri Chonki Lagaoon Mai Kaise ॥
Jahan Mai Baitha Wahi Baith Ke Maa,
Bachchon Ka Dil Bahala Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Tu Bhagya Banaane Wali Hai,
Maa Mai Takdeer Ka Mara Hoon ।
Hai Daati Sambhaal Bhikari Ko,
Aakhir Teri Aankh Ka Tara Hoon ॥
Mai Doshi Tu Nirdosh Hai Maa,
Mere Doshon Ko Tu Bhula Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥
कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कभी फुर्सत हो तो जगदम्बे, निर्धन के घर भी आ जाना। जो रूखा सूखा दिया हमें...
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanLakha BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Vrindavan Me Hukum Chale Barsane Wali Ka

Vrindavan Me Hukum Chale, Barsane Wali Ka, Kanha Bhi Diwana Hai, Shree Radhe Rani Ka ॥

Tino Loko Mein Bhole Ke Jaisa

Tino Loko Mein Bhole Ke Jesa, Dushara Koi Dani Nahi Hai, Kaun Sa Bhakt Hai Baat Usaki, Mere Bhole Ne Mani Nahin Hai, Tino Loko Mein Bhole Ke Jesa, Dushara Koi Dani Nahi Hai ॥

Jagran Ki Raat Maiya Jagran Mein Aao

Jagran Ki Raat Maiya, Jagran Mein Aao, Maan Jagran Mein Aao, Aas Lagaye Baithe Hai Maan, Ab to Darash Dikhao, Jagran Ki Raat Maiya, Jagran Mein Aao, Maan Jagran Mein Aaon ॥

Laagi Tum Sang Yaari Mere Banke Bihari

Laagi Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari, Banke Bihari, Mere Kunj Bihari, Laagin Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari ॥

Jai Shree Ram By Hansraj Raghuwanshi

Raghupati raghav raja Ram, Patit paavan Seeta ram, Seeta ram Seeta ram..