Kaal Kya Karega Mahakal Ke Aage (काल क्या करेगा महाकाल के आगे: भजन)


Kar Lunga Do-do Baat Main,
Us Kaal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥
Rutba Hai Bholenath Ka,
Devo Ke Hai Afsar,
Bethe Hai Samadhi Me Vo,
Gaura Ke Hai Har-har,
Cham-cham Chamakta Chandrama,
Shiv Bhaal Ke Aage,
Fike Pade Sab Haar,
Mundmal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥

Markandey Ke Gale Phas,
Vo Yamraj Ne Dali,
Bhole Shankar Ne Prakat Hoke,
Uski Maut Ko Taali,
Swami Hai Iski Maut,
Barah Saal Ke Aage,
Kaal Ki Chali Nahin,
Shiv Dhaal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥

Nandi Ko Bholenath Ne,
Mrityu Se Bachaya,
Mrityu Se Bacha Ke,
Use Gan Apna Banaya,
Jhukta Nahi Shiv Bhakt,
Kisi Haal Ke Aage,
Chalti Na Koi Chaal,
Unki Chaal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥

Bhakto Ko Bholenath Ne,
Mala-maal Kar Diya,
Khushiyo Ke Khajane Ko,
Jholiyo Mein Bhar Diya,
Bhakti Badi kamal Hai,
Mayajal Ke Aage,
Premi Laga Le Dhyan Tu,
Surtal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥

Vo Kal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage,
Kar Lunga Do-do Baat Main,
Us Kaal Ke Aage,
Vo Kaal Kya Karega,
Mahakal Ke Aage ॥
काल क्या करेगा महाकाल के आगे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
काल क्या करेगा महाकाल के आगे, कर लूँगा दो दो बात मैं, उस काल के आगे..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanShivaratri BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSawan Somvar BhajanShiv Terash BhajanJyotirling BhajanKanwar BhajanKanwar Yatra BhajanKanwariya BhajanMahakal BhajanBrajmohan Chouksey Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Aise Chup Na Raha Keejie Radhe Radhe Kaha Keejie

Aise, Chup Na, Raha Keejie ॥, Radhe Radhe, Kaha Keejie ॥, Aise, Chup Na, Raha Keejie ॥

Jai Radha Madhav, Jai Kunj Bihari

Jai Radha Madhav, Jai Kunj Bihari, Jai Gopi Jan Ballabh, Jai Giradhar Hari...

Gokul Ki Har Gali Mein Mathura Ki Har Gali Me

Gokul Ki Har Gali Mein, Mathura Ki Har Gali Me, Kanha Ko Dhunta Rahun, Duniya Ke Har Gali Mein ॥

Bhajan: Sabse Unchi Prem Sagai

Sabase Unchi Prem Sagai । Duryodhan Ke Mewa Tyagyo, Saag Vidur Ghar Khai..

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..