Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata (जो विधि कर्म में लिखे विधाता - भजन)


Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥
Waqt Pada Raja Harishchandra Pe,
Kashi Jo Bike Bhai,
Rohit Daas Ko Dasiyo Sarp Ne,
Roti Thi Uski Mai ॥
Usi Samay Rohit Ko Dekho,
Bachane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Waqt Pada Dekho Ramachandra Pe,
Van Ko Gae Donon Bhai,
Ram Gaye Aur Lakhan Gaye the,
Sath Gai Sita Mai ॥
Van Mein Haran Hua Sita Ka,
Bachane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Waqt Pada Andhi Andhon Pe,
Van Mein Sravan Maran Hua,
Sun Karke Sut Ka Marna Phir,
Un Donon Ka Maran Hua ॥
Usi Shrap Se Dashrath Mar Gaye,
Jalane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥
जो विधि कर्म में लिखे विधाता - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो विधि कर्म में लिखे विधाता, मिटाने वाला कोई नहीं, वक्त पड़े पर गजभर कपड़ा..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanSuresh Awasthi Bhajan

Other Popular Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata Video

Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata By Shruti Dubey

Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata By Anchal Tiwari

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Sheesh Gang Ardhang Parvati

Sheesh Gang Ardhang Parvati, Sada Virajat Kailasi । Nandi Bhrngi Nrty Karat Hain, Dharat Dhyan Sur Sukhrasi ॥

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...