Jo Khel Gaye Parano Pe Bhajan (भजन: जो खेल गये प्राणो पे, श्री राम के लिए!)


Jo Khel Gaye Prano Pe, Shri Ram Ke Liye,
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Sagar Ko Laang Ke Isne,
Sita Ka Pata Lagaya,
Prabhu Ram Naam Ka Danka,
Lanka Mein Jake Bajaya ,
Mata Anjani Ki Aisi,
Santan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥

Lakshman Ko Bachane Ki Jab,
Sari Aashaye Tuti,
Ye Pawan Beg Se Jaakar,
Laye Sanjeevan Booti,
Parvat Ko Uthane Wale,
Balwan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥

Vibhishan Jab Inki Bhakti Par,
Jab Prashn Aaj Uthaya
To Cheer Ke Seena Apna,
Shri Ram Ka Darash Karaya
In Param Bhakt Hanuman,
Mata Anjani Ke Santan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥

Salaasar Mein Bhakto Ki,
Ye Puri Kare Murade,
Mehandipur Ye Sonu.
Dukhiyo Ke Dukhare Kaate,
Duniya Se Nirale Iske,
Donon Dhaam Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥

Jo Khel Gaye Prano Pe,
Shri Ram Ke Liye,
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।

◉ The recitation of Hanuman Chalisa, Bajrang Baan and Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.
भजन: जो खेल गये प्राणो पे, श्री राम के लिए! - हिन्दी में पढ़ें
जो खेल गये प्राणो पे, श्री राम के लिए, एक बार तो हाथ उठालो, मेरे हनुमान के लिए...
Bhajan Shri Hanuman BhajanBajrangbali BhajanHanuman Jayanti BhajanBalaji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Bhagwa Rang Chadne Laga Hai

Mandir Ab Banane Laga Hai, Bhagava Rang Chadhane Laga Hai, Mandir Jab Ban Jayega, Soch Najara Kya Hoga...

Ram Naam Ke Deewane Puje Jinko Duniya Mane

Ram Naam Ke Deewane, Puje Jinko Duniya Maane, Sabake Sankat Mochan Pyare Hanuman Hai,
Ye Hai Anjani Ke Pyare, Baba Laal Langote Wale, Teri Mahima To Sabase Mahan Hai ॥

Aisa Tera Bal Hai Bajrang Koi Jaan Na Paya Hai

Asa Tera Bal Hai Bajarang, Koi Jaan Na Paya Hai, Ho Chahe Koi Kaam Asambhab,
Tune Pal Main Banaya Hai, Ho Chahe Koi Kaam Asambhab, Tune Pal Main Banaya Hai ॥

Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona

Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona, Mujhe Aur Jine Ki Chaahat Nahin Hai, Ai Viro Mujhe Chhod Ke Laut Jao, Ai Viro Mujhe Chhod Ke Laut Jao, Ki Lanka Vijay Ki Jarurat Nahin Hai, Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona ॥