Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai,
Satiyon Mein Tu Siramaur Hai Maa,
Sancha Ye Dwar Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Tu Meri Hai Main Tera Hun,
Tu Chanda Hai Main Chakori Hun,
Tere Hote Hi Roshan Dadi,
Kismat Ka Sitara Mera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Main Tera Dhyan Lagati Hun,
Maa Paas Tujhe Mein Pati Hun,
Duniya Ki Na Darkar Mujhe,
Bas Ek Sahara Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Tu Haath Pakad Ke Chalti Hai,
Tujh Se Meri Hasti Hai,
Naiya Ki Khevanahar Tu Hi,
Tu Hi To Kinara Mera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Meri Dor Tumhare Haatho Mein,
‘Swati’ Ki Basi Ho Saanso Mein,
Kahe ‘Harsh’ Wahi Mud Jati Hun,
Jise Jagat Ishara Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai,
Satiyon Mein Tu Siramaur Hai Maa,
Sancha Ye Dwar Tera Hai,
Jis Aur Nazar Ferun Dadi,
Chahun Aur Nazara Tera Hai ॥