Jara Chalke Ayodhya Ji Me Dekho (जरा चलके अयोध्या जी में देखों: भजन)


Jara Chal Ke Ayodhya Ji Mein Dekho,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥
Janmbhoomi Pe Mandir Banega,
Jiske Rakhwale Bajrangbali Hai,
Anjanilal Apni Gada Se,
Pappiyon Ko Mitate Milenge,
Jara Chalke Ayodhya Ji Mein Dekhon,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥

Ramji Par Uthate Jo Ungli,
Khud Hi Uth Jayenge Is Dhara Se,
Ram Ke Hai Jo Hai Ram Unke,
Shabri Sa Ber Khaate Milenge,
Jara Chalke Ayodhya Ji Mein Dekhon,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥

Veer Sugreev Hai Mitra Jinke,
Jinki Sena Mein Nal Neel Angad,
Apne Baanon Se Dharm Dhwaja Ko,
Raakshson Se Bachate Milenge,
Jara Chalke Ayodhya Ji Mein Dekhon,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥

Maan Kaushalya Ki Aankhon Ke Tare,
Raja Dashrath Ko Praanon Se Pyare,
Bharat Bhaiya Lakhan Shatrughn Sang,
Bhakto Ko Aate Jaate Milenge,
Jara Chalke Ayodhya Ji Mein Dekhon,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥

Jo Hai Raghav Ki Priya Rajdhani,
Ram Raja Jahaan Sita Rani,
‘Devendra’ ‘Kuldeep’ Par Ram Kirpa,
Bhakt Bhakti Lutaate Milenge,
Jara Chalke Ayodhya Ji Mein Dekhon,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥

Jara Chal Ke Ayodhya Ji Mein Dekho,
Ram Sarayu Nahate Milenge ॥
जरा चलके अयोध्या जी में देखों: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जन्मभूमि पे मंदिर बनेगा, जिसके रखवाले बजरंगबली है, अंजनीलाल अपनी गदा से, पापियों को मिटाते मिलेंगे, जरा चलके अयोध्या जी में देखों, राम सरयू नहाते मिलेंगे ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanShri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu