Jai Mata Di Gaye Ja,
Maiya Ko Manaye Ja,
Mata Se Kar Ardaas Tu,
Maiya Pe Rakh Vishwas Tu,
Jai Mata Di Gaayen Ja,
Maiya Ko Manaye Ja ॥
Jisne Mata Ka Hai Naam Liya,
Pal Mein Maan Ne Uska Kaam Kiya,
Kabhi Bhi Uski Naiya Na Doobi,
Jisko Meri Maan Ne Tham Liya,
Maan Sath Hai, to Kya Baat Hai,
Maiya Ka Ban Ja Daas Too,
Maiya Pe Rakh Vishwas Tu,
Jai Mata Di Gaayen Ja,
Maiya Ko Manaye Ja ॥
Jab Bhi Koi Sankat Aa Jaye,
Jab Bhi Tera Man Ye Ghabrai,
Rakhna Bharosa Mata Rani Par,
Baal Na Banka Tera Ho Paye,
Maan Sath Hai, to Kya Baat Hai,
Na Hona Kabhi Nirash Tu,
Maiya Pe Rakh Vishwas Tu,
Jai Mata Di Gaayen Ja,
Maiya Ko Manaye Ja ॥
Badi Hi Mamtamai Meri Maiya,
Rakhti Bhakton Par Apni Chhaiya,
‘Saurabh Madhukar’ Charan Pakad Le Tu,
Ye Chhodegi Na Teri Baiya,
Maan Sath Hai, to Kya Baat Hai,
Maiya Se Kah De Aaj Tu,
Maiya Pe Rakh Vishwas Tu,
Jai Mata Di Gaayen Ja,
Maiya Ko Manaye Ja ॥
Jai Mata Di Gaye Ja,
Maiya Ko Manaye Ja,
Mata Se Kar Ardaas Tu,
Maiya Pe Rakh Vishwas Tu,
Jai Mata Di Gaayen Ja,
Maiya Ko Manaye Ja ॥