Jab Bhakt Bulate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain ॥
Vo to Din Aur Duhkhion Ko ॥
Aa Ke Gale Lagate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
Droupadi Ne Jab, Unhen Pukara, Daude Daude Aa Gaye ।
Bhari Sabha Mein, Chir Badha Ke, Uski Laaj Bacha Gaye ।
Vo Bahut Dayalu Hain, Vo Daya Ke Sagar Hain,
Vo Chir Badhate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
Arjun Ne Jab, Unhen Pukara, Saarthi Banake Aa Gaye ।
Gita Ka, Updesh Suna Ke, Usaka Bharam Mita Gaye ॥
Vo Gyan Sikhate Hain, Vo Bharam Mitate Hain,
Vo Gale Lagate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
Dhanne Ne Jab, Unhen Pukara, Thakur Banake Aa Gaye ।
Patthron Mein, Darsh Dikha Ke, Prem Ka Bhog Laga Gaye ॥
Vo Darsh Dikhate Hain, Vo Hal Chalate Hain,
Vo Maan Badhate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...
Mitra Suddama, Dware Aaye, Daude Daude Aa Gaye ।
Do Muthi, Sattoo Ke Badle, Uska Mahal Bana Gaye ॥
Vo Farz Nibhate Hain, Vo Gale Lagate Hain,
Vo Mahal Banate Hain, Hari Daud Ke Aate Hain,
Jab Bhakt Bulate Hain...