Iss Yogya Ham Kahan Hain
Iss Yogya Ham Kahan Hain, Guruvar Tumhen Rijhayen ।
Phir Bhi Mana Rahe Hain, Shayad Tu Maan Jaye ॥
Jab Se Janam Liya Hai, Vishayon Ne Hamko Ghera ॥
Chhal Aur Kapat Ne Dala, Is Bhole Man Pe Dera ॥
Sadbuddhi Ko Ahan Ne, Hardam Rakha Dabaye ॥
Nishchay Hi Ham Patit Hain, Lobhi Hain Lalchi Hain
Tera Dhyan Jab Lagayen, Maya Pukarti Hai ॥
Sukh Bhogne Ki Ichchha, Kabhi Trpt Ho Na Paye ॥
Jag Mein Jahan Bhi Jayen, Bas Ek Hi Chalan Hai ।
Ek- Doosre Ke Sukh Mein, Khud Ko Badi Jalan Hai ॥
Karmon Ka Lekha Jokha, Koi Samajh Na Paye ॥
Jab Kuchh Na Kar Sake to, Teri Sharan Mein Aaye ।
Apradh Mante Hain, Jhelte Sab Sajayen ॥
Ab Gyan Ham Ko De Do, Kuchh Aur Ham Na Chahen ॥
इस योग्य हम कहाँ हैं, गुरुवर तुम्हें रिझायें। फिर भी मना रहे हैं, शायद तु मान जाये॥ Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanMarwadi BhajanRajasthani BhajanGuru Purnima BhajanAsha Vaishnav BhajanVyasa Purnima Bhajan
Other Popular Is Yogya Ham Kahan Hain, Guruwar Tumhen Rijhayen Video
Is Yogya Ham Kahan Hain, Guruwar Tumhen Rijhayen By Poonam Didi
If you love this bhajan please like, share or comment!
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!